ek mukalima
aah ko pūchhā
kahā
merī janāb
ishq ko pūchhā
kahā
mere huzūr
husn ko pūchhā
kahā
partav mirā
be-etinā-o-be-niyāz
rang andhoñ ke liye
sar-basta raaz
maiñ ne pūchhā
kyā hai phir soz-e-jigar
kah diyā
tāsīr-e-kul ā.īna-gar
jab kuredā
ḳhalvat-o-jalvat ke kyā ma.anī hue
raushnī phūTī ki jalvat
merī bazm-e-kā.enāt
bābat-e-ḳhalvat
nishān-e-tūr dekh
rang-o-be-rangī kī maiñ ne
sar jhukā kar baat kī
ek mausam guuñj uThā
do rāste
maiñ ne phir pūchhā
ki achchhā tā-kujā
ek kauñdā sā lapak uThā ki bas
nādān tū itnā na samjhā
mujh talak
maiñ ne jhallā kar
paTaḳhnā chāhā kashkol-e-malāl
larza ik goyā huā
mālūm hai mujh ko tirā aglā savāl
taish mat khā
zaat merī nuur hai
maiñ labālab tujh meñ huuñ
gar mujh se tū māmūr hai
aah ko puchha
kaha
meri janab
ishq ko puchha
kaha
mere huzur
husn ko puchha
kaha
partaw mera
be-etina-o-be-niyaz
rang andhon ke liye
sar-basta raaz
main ne puchha
kya hai phir soz-e-jigar
kah diya
tasir-e-kul aaina-gar
jab kureda
KHalwat-o-jalwat ke kya mani hue
raushni phuTi ki jalwat
meri bazm-e-kaenat
babat-e-KHalwat
nishan-e-tur dekh
rang-o-be-rangi ki main ne
sar jhuka kar baat ki
ek mausam gunj uTha
do raste
main ne phir puchha
ki achchha ta-kuja
ek kaunda sa lapak uTha ki bas
nadan tu itna na samjha
mujh talak
main ne jhalla kar
paTaKHna chaha kashkol-e-malal
larza ek goya hua
malum hai mujh ko tera agla sawal
taish mat kha
zat meri nur hai
main labaalab tujh mein hun
gar mujh se tu mamur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.