ek nanha sa ghar
tumheñ ik ḳhūbsūrat nanhe se
ghar kī tamannā thī
jise tum apnā kah saktīñ
sajā saktīñ jahāñ ke bām-o-dar ko
apnī marzī se
magar afsos umr-e-muḳhtasar guzrī
kirā.e ke makānoñ meñ
zamāna kaj-adā hai
jīte-jī ik qata-e-arāzī nahīñ detā
ba-juz daulat
magar jab ḳhaak ho jaa.eñ
to marqad ke liye mil jaa.e
zamīñ ham ko binā māñge
chalo achchhā huā
tum jā basīñ
shahr-e-ḳhamoshāñ meñ
banā ke chhoTā sā ik ghar
tamannā to huī puurī
sajā lo ab isī ke bām-o-dar ko
apnī marzī se
tumhein ek KHubsurat nanhe se
ghar ki tamanna thi
jise tum apna kah saktin
saja saktin jahan ke baam-o-dar ko
apni marzi se
magar afsos umr-e-muKHtasar guzri
kirae ke makanon mein
zamana kaj-ada hai
jite-ji ek qata-e-araazi nahin deta
ba-juz daulat
magar jab KHak ho jaen
to marqad ke liye mil jae
zamin hum ko bina mange
chalo achchha hua
tum ja basin
shahr-e-KHamoshan mein
bana ke chhoTa sa ek ghar
tamanna to hui puri
saja lo ab isi ke baam-o-dar ko
apni marzi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.