ek paheli ek kahani
ghar meñ vo hairat aur hairānī laayā hai
raat kahīñ ārām kī mazdūrī kar ke
sub.h savere khānā-pānī laayā hai
bech ke rūh-e-besh-bahā-e-nādārī
jism kī ḳhātir kuchh āsānī laayā hai
halkī sī ruḳh par laalī hai be-sharmī kī
dāman par dāġh-e-uryānī laayā hai
saath meñ biivī bachchoñ ke bahlāne ko
ek pahelī ek kahānī laayā hai
ghar mein wo hairat aur hairani laya hai
raat kahin aaram ki mazduri kar ke
subh sawere khana-pani laya hai
bech ke ruh-e-besh-baha-e-nadari
jism ki KHatir kuchh aasani laya hai
halki si ruKH par lali hai be-sharmi ki
daman par dagh-e-uryani laya hai
sath mein biwi bachchon ke bahlane ko
ek paheli ek kahani laya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.