ek shahr tha ek bagh tha
ik shahr thā ik baaġh thā
ik shahr thā
yā taaza mevoñ se ladā ik baaġh thā
ik baaġh thā
yā shoḳh rañgoñ se bharā bāzār thā
bāzār thā yā jugnuoñ kī raushnī se kheltī ik raat thī
ik raat thī
yā gungunātī jhūmtī
naġhmāt kī bārish meñ bhīgī
vasl kī sauġhāt thī
ik shahr thā ik baaġh thā ik raat thī
aur un ke dāman meñ
bahār-e-vasl kī sauġhāt thī
ik roz rañg-o-nūr ke mausam ko
bād-e-shart uḌā kar le ga.ī
ik mauj-e-ḳhūñ kahiye use
us shahr ke us baaġh ke
nām-o-nishāñ saare bahā kar le ga.ī
ai nauhagar
ai rāqim-e-afsāna-e-zer-o-zabar
ai chashm-e-hairat chashm-e-tar
ibrat kī jā hai kis qadar
ab yaad kā hai ek afsurda nagar
is shahr meñ
kuchh der ko Thahreñ zarā
nauha kareñ
qissa likheñ
tārīḳh ke aurāq meñ
ik baab kholeñ yaad kā
taqdīr-e-hast-o-būd kā
maġhmūm afsāna likheñ
ek shahr tha ek bagh tha
ek shahr tha
ya taza mewon se lada ek bagh tha
ek bagh tha
ya shoKH rangon se bhara bazar tha
bazar tha ya jugnuon ki raushni se khelti ek raat thi
ek raat thi
ya gungunati jhumti
naghmat ki barish mein bhigi
wasl ki saughat thi
ek shahr tha ek bagh tha ek raat thi
aur un ke daman mein
bahaar-e-wasl ki saughat thi
ek roz rang-o-nur ke mausam ko
baad-e-shart uDa kar le gai
ek mauj-e-KHun kahiye use
us shahr ke us bagh ke
nam-o-nishan sare baha kar le gai
ai nauhagar
ai raqim-e-afsana-e-zer-o-zabar
ai chashm-e-hairat chashm-e-tar
ibrat ki ja hai kis qadar
ab yaad ka hai ek afsurda nagar
is shahr mein
kuchh der ko Thahren zara
nauha karen
qissa likhen
tariKH ke auraq mein
ek bab kholen yaad ka
taqdir-e-hast-o-bud ka
maghmum afsana likhen
- Book : dasht ajab hairanii ka shayar (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.