ek umr ki der
safha-e-dil se tirā naam miTāne meñ mujhe der lagī
puurī ik umr kī der!
ashk-e-ġham... qatra-e-ḳhūñ... āb-e-masarrat se
miTā kar dekhā
rañg-e-duniyā bhī milaa... rañg-e-tamannā bhī lagā kar dekhā
maktab-e-ishq meñ jitne bhī sabaq yaad kiye
yaad rahe
arsa-e-zīst meñ ḳhvāboñ ke ḳharābe the bahut
in ḳharāboñ meñ
ḳhayāloñ ke nagar jitne bhī ābād kiye
yaad rahe!
gosha-e-rañj meñ... hañgāma-e-duniyā se pare
kaun ik hijr ke shīshe meñ utartā thā
tire aks-e-dil-ārām ke saath
kis kī ummīd ke raste pe koī dā.era-e-nūr na thā
kis kī māyūs nigāhoñ meñ bikharte the
tamannā ke ujāle bhii... añdheroñ kī tarah
roz-e-raushan meñ bhī ho jaatī thī
kis dil ke mazāfāt meñ raat,
tū ne jaanā hī nahīñ
aur tirī ḳhud-sāḳhta be-ḳhabarī ko
qissa-e-dard sunāne meñ mujhe der lagī
āñsuoñ se mirā ā.īna-e-ġham dhundlāyā
ek sardāba-e-daurāñ meñ jo poshīda-o-nādīda rahī thī
ab tak
is tan-e-zār ko... vo zindagī hī bhuul ga.ī
dil se lipTī huī yak-rañg udāsī ke sabab
rañg-o-rāmish meñ basī zinda-dilī bhuul ga.ī
par tirī shakl bhulāne meñ mujhe der lagī
puurī ik umr kī der
umr...
jo lamha-e-jāñ ke sivā kuchh bhī na thī
umr... jo terī tamannā ke sivā kuchh bhī na thī
bas vahī umr batāne meñ... mujhe der lagī!
safha-e-dil se tera nam miTane mein mujhe der lagi
puri ek umr ki der!
ashk-e-gham qatra-e-KHun aab-e-masarrat se
miTa kar dekha
rang-e-duniya bhi mila rang-e-tamanna bhi laga kar dekha
maktab-e-ishq mein jitne bhi sabaq yaad kiye
yaad rahe
arsa-e-zist mein KHwabon ke KHarabe the bahut
in KHarabon mein
KHayalon ke nagar jitne bhi aabaad kiye
yaad rahe!
gosha-e-ranj mein hangama-e-duniya se pare
kaun ek hijr ke shishe mein utarta tha
tere aks-e-dil-aram ke sath
kis ki ummid ke raste pe koi daera-e-nur na tha
kis ki mayus nigahon mein bikharte the
tamanna ke ujale bhi andheron ki tarah
roz-e-raushan mein bhi ho jati thi
kis dil ke mazafat mein raat,
tu ne jaana hi nahin
aur teri KHud-saKHta be-KHabari ko
qissa-e-dard sunane mein mujhe der lagi
aansuon se mera aaina-e-gham dhundlaya
ek sardaba-e-dauran mein jo poshida-o-nadida rahi thi
ab tak
is tan-e-zar ko wo zindagi hi bhul gai
dil se lipTi hui yak-rang udasi ke sabab
rang-o-ramish mein basi zinda-dili bhul gai
par teri shakl bhulane mein mujhe der lagi
puri ek umr ki der
umr
jo lamha-e-jaan ke siwa kuchh bhi na thi
umr jo teri tamanna ke siwa kuchh bhi na thi
bas wahi umr batane mein mujhe der lagi!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 93)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.