iKHtilaf
bayāz-e-zindagī meñ amn kā varaq hī saaf hai
ye āfiyat kā qasr hai aur qasr meñ shigāf hai
zamīñ pe āsmāñ nahīñ ye zulm kā ġhilāf hai
hameñ ye zulm meñ aTī fazā se iḳhtilāf hai
karishma-gar nigāh se hameñ koī ġharaz nahīñ
bahāna-sāz aah se hameñ koī ġharaz nahīñ
numā.ishī karāh se hameñ koī ġharaz nahīñ
hameñ galī-saḌī huī vafā se iḳhtilāf hai
kahīñ hai intihā-pasand ḳhū kī nāgavār bū
kahīñ hai sard hastiyoñ pe kāñptī ridā-e-ḳhū
kahīñ havās meñ kamī kahīñ havās meñ ġhulū
hameñ to asr-e-hāl kī havā se iḳhtilāf hai
vahāñ to fauj-e-misr hai yahāñ nahīñ koī asā
muḳhālifat meñ hosh rakh na is tarah se josh khā
baġhaur dast-o-bāzū-e-adū ko dekh le zarā
hameñ tirī ghuTTī huī sadā se iḳhtilāf hai
shu.ūr-e-dīñ se jabr-e-nāravā kī baag moḌ de
sukūn-o-āgahī se do diloñ kā rabt joḌ de
salāmtī se panja-e-sitam kā zor toḌ de
hameñ tirī TuuTī huī asā se iḳhtilāf hai
bayaz-e-zindagi mein amn ka waraq hi saf hai
ye aafiyat ka qasr hai aur qasr mein shigaf hai
zamin pe aasman nahin ye zulm ka ghilaf hai
hamein ye zulm mein aTi faza se iKHtilaf hai
karishma-gar nigah se hamein koi gharaz nahin
bahana-saz aah se hamein koi gharaz nahin
numaishi karah se hamein koi gharaz nahin
hamein gali-saDi hui wafa se iKHtilaf hai
kahin hai intiha-pasand KHu ki nagawar bu
kahin hai sard hastiyon pe kanpti rida-e-KHu
kahin hawas mein kami kahin hawas mein ghulu
hamein to asr-e-haal ki hawa se iKHtilaf hai
wahan to fauj-e-misr hai yahan nahin koi asa
muKHalifat mein hosh rakh na is tarah se josh kha
baghaur dast-o-bazu-e-adu ko dekh le zara
hamein teri ghuTTi hui sada se iKHtilaf hai
shuur-e-din se jabr-e-narawa ki bag moD de
sukun-o-agahi se do dilon ka rabt joD de
salamti se panja-e-sitam ka zor toD de
hamein teri TuTi hui asa se iKHtilaf hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.