maiñ aksar sochtā huuñ dekh kar tum ko
agar tum na raho tab bhī
ye saare log chāheñge
sitāre tab bhī mujh par ġhaib se
ġhazleñ utāreñge
havā tab bhī badan merā uchhālegī
ye bārish aur kuchh qissa sunā.egī
na.ī kuchh aur yādeñ ḳhatm ho kar
miTtī jā.eñgī
agar tum na raho tab bhī
ye merī saañs lene kī
burī aadat nahīñ chhūTe
so aksar sochtā huuñ dekh kar tum ko
maiñ āḳhir kyoñ hī tum se pyaar kartā huuñ
main aksar sochta hun dekh kar tum ko
agar tum na raho tab bhi
ye sare log chahenge
sitare tab bhi mujh par ghaib se
ghazlen utarenge
hawa tab bhi badan mera uchhaalegi
ye barish aur kuchh qissa sunaegi
nai kuchh aur yaaden KHatm ho kar
miTti jaengi
agar tum na raho tab bhi
ye meri sans lene ki
buri aadat nahin chhuTe
so aksar sochta hun dekh kar tum ko
main aaKHir kyon hi tum se pyar karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.