ilahi
khulī jo aañkh to har samt lafz bikhre the
phir us ke baad bhī lafzoñ meñ sadiyāñ biit ga.iiñ
ab haal ye hai ki har jihat
lafz lagtī hai
kisī vafā kā vo maazī ye mere haal kā sabr
kitāb phuul sabā chāñdnī
sabhī alfāz
kisī kā ohda mirā e'timād bhī alfāz
ajiib lafzoñ kā jangal hai kyā tamāsha hai
kisī ufuq se haqīqat kī ik shuā to ho
kisī bhī lafz kī muTThī meñ kuchh matā.a to ho
khuli jo aankh to har samt lafz bikhre the
phir us ke baad bhi lafzon mein sadiyan bit gain
ab haal ye hai ki har jihat
lafz lagti hai
kisi wafa ka wo mazi ye mere haal ka sabr
kitab phul saba chandni
sabhi alfaz
kisi ka ohda mera e'timad bhi alfaz
ajib lafzon ka jangal hai kya tamasha hai
kisi ufuq se haqiqat ki ek shua to ho
kisi bhi lafz ki muTThi mein kuchh mataa to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.