ilm aur jahaalat
vo bashar jo paḌh ke bhī kahtā ho yuuñ
ban ke tālib aur kuchh hāsil karūñ
koī shak us kī fazīlat meñ nahīñ
us kā rutba hai farishtoñ se fuzūñ
vo bashar kuchh bhī na aatā ho jise
lekin us ko shauq ho aalim banūñ
apnī be-ilmī kā us ko ilm hai
nā-munāsib hai use jāhil ginūñ
vo bashar jo ho nirā ahmaq magar
ḳhud samajhtā ho ki dānish-mand huuñ
maut hai us kī himāqat kā ilaaj
vo rahegā umr bhar ḳhvār-o-zabūñ
har bashar ai 'faiz' ye koshish kare
jis tarah bhī ho jahālat se bachūñ
wo bashar jo paDh ke bhi kahta ho yun
ban ke talib aur kuchh hasil karun
koi shak us ki fazilat mein nahin
us ka rutba hai farishton se fuzun
wo bashar kuchh bhi na aata ho jise
lekin us ko shauq ho aalim banun
apni be-ilmi ka us ko ilm hai
na-munasib hai use jahil ginun
wo bashar jo ho nira ahmaq magar
KHud samajhta ho ki danish-mand hun
maut hai us ki himaqat ka ilaj
wo rahega umr bhar KHwar-o-zabun
har bashar ai 'faiz' ye koshish kare
jis tarah bhi ho jahaalat se bachun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.