ilm
ilm hai insāñ kī tahzīb-o-tamaddun ke liye
ye nahīñ insānī qadroñ ke talavvun ke liye
ilm hai aapas meñ iḳhlās-o-uḳhuvvat ke liye
ye nahīñ auroñ ke nuqsān-o-halākat ke liye
ilm hai insān kī bahbūd-o-baqā ke vāste
ye nahīñ insāniyat kī ibtilā ke vāste
ilm hai insān kī ḳhud-āgahī ke vāste
aur insānoñ meñ bhā.ī-chārgī ke vāste
ilm se raushan-ḳhayālī aatī hai insān meñ
puḳhtagī aḳhlāq meñ to tāzgī īmān meñ
ilm baḌhtā hai koī us ko ghaTā saktā nahīñ
ye vo daulat hai jise koī churā saktā nahīñ
ilm ko phailā.iye achchhe maqāsid ke liye
taaki duniyā kī taraqqī kā nishāna baḌh sake
ilm chaḌhtā āftāb aur ilm hai bād-e-murād
ilm zindabād is kī āgahī pā.inda-bād
ilm hai insan ki tahzib-o-tamaddun ke liye
ye nahin insani qadron ke talawwun ke liye
ilm hai aapas mein iKHlas-o-uKHuwwat ke liye
ye nahin auron ke nuqsan-o-halakat ke liye
ilm hai insan ki bahbud-o-baqa ke waste
ye nahin insaniyat ki ibtila ke waste
ilm hai insan ki KHud-agahi ke waste
aur insanon mein bhai-chaargi ke waste
ilm se raushan-KHayali aati hai insan mein
puKHtagi aKHlaq mein to tazgi iman mein
ilm baDhta hai koi us ko ghaTa sakta nahin
ye wo daulat hai jise koi chura sakta nahin
ilm ko phailaiye achchhe maqasid ke liye
taki duniya ki taraqqi ka nishana baDh sake
ilm chaDhta aaftab aur ilm hai baad-e-murad
ilm zindabaad is ki aagahi painda-baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.