ilm ik aisī daulat hai
koī baañT na is ko paa.e
koī chhāñT na is ko paa.e
har-sū us kī dhaak hai aisī
koī DaañT na is ko paa.e
ilm ik aisī daulat hai
is se adnā hotā aalā
hotā hai past is se baalā
chāhe gorā ho yā kaalā
is se bantā vo rakhvālā
ilm ik aisī daulat hai
is se mat rahnā tum khīñche
rakhtā hai jo is ko bheñche
aage vo sab is ke pīchhe
har ūñchā.ī is ke nīche
ilm ik aisī daulat hai
ilm hai ḳhaas in.ām-e-qudrat
nahīñ hai is se baḌh kar ne.amat
is se saarī shān-o-shaukat
is se azmat is se shohrat
ilm ik aisī daulat hai
is daulat ko paao bachcho
aapas meñ phailāo bachcho
ūñchā naam kamāo bachcho
sab ko ye batlāo bachcho
ilm baḌī ik daulat hai
ilm ek aisi daulat hai
koi banT na is ko pae
koi chhanT na is ko pae
har-su us ki dhak hai aisi
koi DanT na is ko pae
ilm ek aisi daulat hai
is se adna hota aala
hota hai past is se baala
chahe gora ho ya kala
is se banta wo rakhwala
ilm ek aisi daulat hai
is se mat rahna tum khinche
rakhta hai jo is ko bhenche
aage wo sab is ke pichhe
har unchai is ke niche
ilm ek aisi daulat hai
ilm hai KHas inam-e-qudrat
nahin hai is se baDh kar neamat
is se sari shan-o-shaukat
is se azmat is se shohrat
ilm ek aisi daulat hai
is daulat ko pao bachcho
aapas mein phailao bachcho
uncha nam kamao bachcho
sab ko ye batlao bachcho
ilm baDi ek daulat hai
- Book : Khushboo Khushboo Nazmen Apni (Pg. 33)
- Author : Ata Abidi
- Publication : Book Emporium,Urdu Bazar Sabzi Bagh, Patna (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.