ilm
ilm kyā shai hai dosto jaano
ilm kī ahmiyat ko pahchāno
ilm kyā shai hai ek ne.amat hai
ilm kyā shai hai ek daulat hai
ilm kyā shai hai vaj.h azmat hai
ilm kyā shai hai rab kī rahmat hai
kyā haiñ ādāb-e-zindagī bachcho
ham ko jab ilm hī nahīñ hotā
shakl-o-sūrat ke mā-sivā hargiz
aadmī aadmī nahīñ hotā
na harām-o-halāl kī tafrīq
aur na kuchh imtiyāz-e-nek-o-bad
kuchh jo hotā to peT bharnā hī
zindagī kā azīm-tar maqsad
zindagī ke har ek shoba meñ
dosto ilm kī zarūrat hai
saarī duniyā meñ 'murtazā' 'sāhil'
ilm vāloñ kī qadr-o-qīmat hai
ilm kyā shai hai dosto jaano
ilm kī ahmiyyat ko pahchāno
ilm kya shai hai dosto jaano
ilm ki ahmiyat ko pahchano
ilm kya shai hai ek neamat hai
ilm kya shai hai ek daulat hai
ilm kya shai hai wajh azmat hai
ilm kya shai hai rab ki rahmat hai
kya hain aadab-e-zindagi bachcho
hum ko jab ilm hi nahin hota
shakl-o-surat ke ma-siwa hargiz
aadmi aadmi nahin hota
na haram-o-halal ki tafriq
aur na kuchh imtiyaz-e-nek-o-bad
kuchh jo hota to peT bharna hi
zindagi ka azim-tar maqsad
zindagi ke har ek shoba mein
dosto ilm ki zarurat hai
sari duniya mein 'murtaza' 'sahil'
ilm walon ki qadr-o-qimat hai
ilm kya shai hai dosto jaano
ilm ki ahmiyyat ko pahchano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.