ilm ke saudagar
ham ilm ke saudāgar haiñ aur maktab meñ tijārat karte haiñ
sab karte haiñ tārīf hamārī dil meñ hiqārat karte haiñ
ham meñ se kuchh aise bhī haiñ jo ilm se bilkul haiñ aarī
behtar rahtā hote vo agar kisī aur hī chiiz ke byopārī
aise bhī haiñ jo auroñ kī tarah chīzoñ meñ milāvaT karte haiñ
jo ilm kī chorī karte haiñ vo jhūTī sajāvaT karte haiñ
kuchh aise bad-qismat bhī haiñ jo maal to achchhā rakhte haiñ
aur bech nahīñ sakte is ko ismat kī tarah bāzāroñ meñ
tash.hīr ke raaz se nā-vāqif ye sāda-dil be-nām bhī haiñ
aur jis ko ġhurūr-e-fan kahte haiñ us se kuchh bad-nām bhī haiñ
hai un ke nasīb meñ farhādī aur hai shīrīñ auroñ ke liye
kāñToñ kā taaj hai un ke liye tauq-e-zarrīñ auroñ ke liye
hum ilm ke saudagar hain aur maktab mein tijarat karte hain
sab karte hain tarif hamari dil mein hiqarat karte hain
hum mein se kuchh aise bhi hain jo ilm se bilkul hain aari
behtar rahta hote wo agar kisi aur hi chiz ke byopari
aise bhi hain jo auron ki tarah chizon mein milawaT karte hain
jo ilm ki chori karte hain wo jhuTi sajawaT karte hain
kuchh aise bad-qismat bhi hain jo mal to achchha rakhte hain
aur bech nahin sakte is ko ismat ki tarah bazaron mein
tashhir ke raaz se na-waqif ye sada-dil be-nam bhi hain
aur jis ko ghurur-e-fan kahte hain us se kuchh bad-nam bhi hain
hai un ke nasib mein farhadi aur hai shirin auron ke liye
kanTon ka taj hai un ke liye tauq-e-zarrin auron ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.