ilm ki zarurat
jahāñ meñ har taraf hai ilm hī kī garm-bāzārī
zamīñ se āsmāñ tak bas isī kā faiz hai jaarī
yahī sar-chashma-e-aslī hai tahzīb-o-tamaddun kā
baġhair is ke bashar honā bhī hai ik saḳht bīmārī
banātā hai yahī insān ko kāmil-tarīn insāñ
sikhātā hai yahī aḳhlāq o īsār o ravā-dārī
yahī qaumoñ ko pahuñchātā hai bām-e-auj-o-rif.at par
yahī mulkoñ ke andar phūñktā hai rūh-e-bedārī
isī ke naam kā chaltā hai sikka saare aalam meñ
isī ke sar pe rahtā hai hamesha tāj-e-sardārī
isī ke sab karishme ye nazar aate haiñ duniyā meñ
isī ke dam se raunaq ālam-e-imkāñ kī hai saarī
ye lā-silkī, ye telephone ye raileñ, ye tayyāre
ye zer-e-āb o bālā-e-falak insāñ kī tarrārī
hudūd-e-istavā qutbain se yuuñ ho ga.e mudġham
ki hai ab rub.a maskoñ jaise ghar kī chār-dīvārī
samundar ho ga.e pāyāb sahrā bin ga.e gulshan
kiyā science ne bhī e.atarāf-e-ijz-o-nāchārī
buḳhār o barq kā jarrār lashkar hai ab āmāda
ugalvā le zamīn o āsmāñ kī daulateñ saarī
ġharaz chāroñ taraf ab ilm hī kī bādshāhī hai
ki us ke bāzūoñ meñ quvvat-e-dast-e-ilāhī hai
nigāh-e-ġhaur se dekho agar hālāt-e-insānī
to ho saktā hai hal ye uqda-e-mushkil ba-āsānī
vahī qaumeñ taraqqī ke madārij par haiñ fā.eq-tar
ki hai jin meñ tamaddun aur siyāsat kī farāvānī
isī ke zo.am meñ hai germany charḳh-e-tafāḳhur par
isī ke zor par mirrīḳh kā ham-sar hai jāpānī
isī kī quvvat-e-bāzū pe hai maġhrūr america
isī ke bil par laḌkī ho rahī hai rustam-e-sānī
ishāre par isī ke naql-o-harakat hai sab italy kī
isī ke tāba-e-farmān haiñ ruusī o īrānī
isī ke jumbish-e-abrū pe hai england kā ġharra
isī ke haiñ sab āvurde francisi o albānī
koī mulk ab nahīñ jin meñ ye jauhar ho na raḳhshanda
na ġhāfil is se chīnī haiñ na shāmī haiñ na afġhānī
baġhair is ke jo rahnā chāhte haiñ is zamāne meñ
samajh rakkheñ fanā un ke liye hai hukm-e-rabbānī
zamāna pheñk degā ḳhud unheñ qa.ar-e-halākat meñ
vo apne haath se hoñge ḳhud apnī qabr ke baanī
zamāne meñ jise ho sāhib-e-fat.h-o-zafar honā
zarūrī hai use ilm-o-hunar se bahra-var honā
taraqqī kī khulī haiñ shāhrāheñ dahr meñ har sū
nazar aatā hai tahzīb-o-tamaddun se jahāñ mamlū
chale jaate haiñ uḌte shahsavārān-e-falak-paimā
ḳhirāj-e-tahniyat lete hue karte hue jaadū
guzarte jā rahe haiñ dūsroñ ko chhoḌte pīchhe
kabhī hotā hai sahrā mustaqar un kā kabhī Taapu
kamar bāñdhe hue din raat chalne par haiñ āmāda
dimāġh afkār se aur dil vufūr-e-shauq se malūl
alag rah kar ḳhayāl-e-zahmat o ehsās-e-rāhat se
lage haiñ apnī apnī fikr meñ bā-ḳhātir-e-yaksū
magar ham haiñ ki aslan his nahīñ ham ko koī is kī
hamāre pā-e-himmat in marāhil meñ haiñ be-qābū
jahāñ pahlā qadam rakkhā thā roz-e-avvalīñ ham ne
nahīñ sarke is apne aslī markaz se ba-qadr-e-mū
ye hālat hai ki ham par band hai har ek darvāza
nazar aatā nahīñ hargiz koī ummīd kā pahlū
magar vā-hasratā phir bhī ham apne zo.am-e-bātil meñ
samajhte haiñ zamāne bhar se aage ḳhud ko manzil meñ
zarūrat hai ki ham meñ raushnī ho ilm kī paidā
nazar aa.e hameñ bhī taaki asl-e-hālat-e-duniyā
hameñ ma.alūm ho hālāt ab kyā haiñ zamāne ke
hamāre saath kā jo qāfila thā vo kahāñ pahuñchā
jo pastī meñ the ab vo jalva-gar haiñ bām-e-rif.at par
jo bālak be-nishāñ the aaj hai in kā alam barpā
hamārī ḳhūbiyāñ sab dūsroñ ne chhīn liiñ ham se
zamāne ne hameñ itnā jhiñjhoḌā kar diyā nañgā
ravā-dārī, uḳhuvvat, dostī, īsār, hamdardī
ḳhayāl-e-mulk-o-millat dard-e-qaum, andesha-e-fardā
ye sab jauhar hamāre the kabhī ai vā.e-mahrūmī
bane haiñ ḳhūbī-e-qismat se jo ab ġhair kā hissā
agar ho jaa.eñ rāġhib ab bhī ham ta.alīm kī jānib
to kar sakte haiñ ab bhī mulk meñ ham zindagī paidā
bahut kuchh vaqt ham ne kho diyā hai lekin is par bhī
agar chāheñ to kar deñ pesh-rau ko apne ham paspā
nikammā kar diyā hai kāhilī ne go hameñ lekin
ragoñ meñ hai hamārī ḳhuun abhī tak dauḌtā phirtā
koī maḳhfī harārat gar hamāre dil ko garmā de
hamāre jism meñ phir zindagī kī ruuh dauḌā de
vatan vaalo bahut ġhāfil rahe ab hosh meñ aao
uTho be-dār ho aql-o-ḳhirad ko kaam meñ laao
tumhāre qaum ke bachchoñ meñ hai ta.alīm kā fuqdāñ
ye gutthī saḳht pechīda hai is ko jald suljhāo
yahī bachche bil-āḳhir tum sabhoñ ke jā-nashīñ hoñge
tum apne sāmne jaisā unheñ chāho banā jaao
bahut hī rañj-dah ho jā.egī us vaqt kī ġhaflat
kahīñ aisā na ho mauqa.a nikal jaane pe pachhtāo
ye hai kār-e-aham do chaar is ko kar nahīñ sakte
ḳhudā-rā tum bhī apne farz kā ehsās farmāo
ye bojh aisā nahīñ jis ko uThā leñ chaar chhe mil kar
sahārā do, sahārā dūsroñ se is meñ dilvāo
jo zī-ehsās haiñ hāsil karo tum ḳhidmateñ un kī
jo zī-parvā haiñ un ko jis tarah ho us taraf laao
ġharaz jaise bhī ho jis shakl se bhī ho ye lāzim hai
tum apne qaum ke bachchoñ ko ab ta.alīm dilvāo
agar tum musta.iddī ko banā loge shi.ār apnā
yaqīñ jaano ki mustaqbil hai behad shāndār apnā
ḳhudāvandā! duāoñ meñ hamārī ho asar paidā
shab-e-ġhaflat hamārī phir kare nūr-e-sahar paidā
hamāre saare ḳhvābīda qavā be-dār ho jaa.eñ
sar-e-nau ho phir in meñ zindagī kī karr-o-farr paidā
hameñ ehsās ho ham kaun the aur aaj ham kyā haiñ
kareñ māhaul-e-mulkī ke liye gahrī nazar paidā
milā rakkhā hai apne jauhar-e-kāmil ko miTTī meñ
ham ab bhī ḳhaak se kar sakte haiñ la.al-o-guhar paidā
agar chāheñ to ham mushkil vatan kī dam meñ hal kar deñ
hazāroñ sūrateñ kar sakte haiñ ham kārgar paidā
ba-zāhir go ham ik tuuda haiñ bilkul raakh kā lekin
agar chāheñ to ḳhākistar se kar deñ sau sharar paidā
vatan kā nakbat o aflās kho deñ ham ishāre meñ
jahāñ Thokar lagā deñ ho vahīñ se kān-e-zar paidā
ham is manzil ke āḳhir par pahuñch kar bil-yaqīñ dam leñ
agar kuchh tāza-dam ho jaa.eñ apne ham-safar paidā
jo koshish muttahid ho kar kahīñ ik baar ho jaa.e
yaqīñ hai mulk kī qismat kā beḌā paar ho jaa.e
jahan mein har taraf hai ilm hi ki garm-bazari
zamin se aasman tak bas isi ka faiz hai jari
yahi sar-chashma-e-asli hai tahzib-o-tamaddun ka
baghair is ke bashar hona bhi hai ek saKHt bimari
banata hai yahi insan ko kaamil-tarin insan
sikhata hai yahi aKHlaq o isar o rawa-dari
yahi qaumon ko pahunchata hai baam-e-auj-o-rifat par
yahi mulkon ke andar phunkta hai ruh-e-bedari
isi ke nam ka chalta hai sikka sare aalam mein
isi ke sar pe rahta hai hamesha taj-e-sardari
isi ke sab karishme ye nazar aate hain duniya mein
isi ke dam se raunaq aalam-e-imkan ki hai sari
ye la-silki, ye telephone ye railen, ye tayyare
ye zer-e-ab o baala-e-falak insan ki tarrari
hudud-e-istawa qutbain se yun ho gae mudgham
ki hai ab ruba maskon jaise ghar ki chaar-diwari
samundar ho gae payab sahra bin gae gulshan
kiya science ne bhi eataraf-e-ijz-o-nachaari
buKHar o barq ka jarrar lashkar hai ab aamada
ugalwa le zamin o aasman ki daulaten sari
gharaz chaaron taraf ab ilm hi ki baadshahi hai
ki us ke bazuon mein quwwat-e-dast-e-ilahi hai
nigah-e-ghaur se dekho agar haalat-e-insani
to ho sakta hai hal ye uqda-e-mushkil ba-asani
wahi qaumen taraqqi ke madarij par hain faeq-tar
ki hai jin mein tamaddun aur siyasat ki farawani
isi ke zoam mein hai germany charKH-e-tafaKHur par
isi ke zor par mirriKH ka ham-sar hai japani
isi ki quwwat-e-bazu pe hai maghrur america
isi ke bil par laDki ho rahi hai rustam-e-sani
ishaare par isi ke naql-o-harakat hai sab italy ki
isi ke taba-e-farman hain rusi o irani
isi ke jumbish-e-abru pe hai england ka gharra
isi ke hain sab aawurde francisi o albani
koi mulk ab nahin jin mein ye jauhar ho na raKHshanda
na ghafil is se chini hain na shami hain na afghani
baghair is ke jo rahna chahte hain is zamane mein
samajh rakkhen fana un ke liye hai hukm-e-rabbani
zamana phenk dega KHud unhen qar-e-halakat mein
wo apne hath se honge KHud apni qabr ke bani
zamane mein jise ho sahib-e-fath-o-zafar hona
zaruri hai use ilm-o-hunar se bahra-war hona
taraqqi ki khuli hain shahrahen dahr mein har su
nazar aata hai tahzib-o-tamaddun se jahan mamlu
chale jate hain uDte shahsawaran-e-falak-paima
KHiraj-e-tahniyat lete hue karte hue jadu
guzarte ja rahe hain dusron ko chhoDte pichhe
kabhi hota hai sahra mustaqar un ka kabhi Tapu
kamar bandhe hue din raat chalne par hain aamada
dimagh afkar se aur dil wufur-e-shauq se malul
alag rah kar KHayal-e-zahmat o ehsas-e-rahat se
lage hain apni apni fikr mein ba-KHatir-e-yaksu
magar hum hain ki aslan his nahin hum ko koi is ki
hamare pa-e-himmat in marahil mein hain be-qabu
jahan pahla qadam rakkha tha roz-e-awwalin hum ne
nahin sarke is apne asli markaz se ba-qadr-e-mu
ye haalat hai ki hum par band hai har ek darwaza
nazar aata nahin hargiz koi ummid ka pahlu
magar wa-hasrata phir bhi hum apne zoam-e-baatil mein
samajhte hain zamane bhar se aage KHud ko manzil mein
zarurat hai ki hum mein raushni ho ilm ki paida
nazar aae hamein bhi taki asl-e-haalat-e-duniya
hamein malum ho haalat ab kya hain zamane ke
hamare sath ka jo qafila tha wo kahan pahuncha
jo pasti mein the ab wo jalwa-gar hain baam-e-rifat par
jo baalak be-nishan the aaj hai in ka alam barpa
hamari KHubiyan sab dusron ne chhin lin hum se
zamane ne hamein itna jhinjhoDa kar diya nanga
rawa-dari, uKHuwwat, dosti, isar, hamdardi
KHayal-e-mulk-o-millat dard-e-qaum, andesha-e-farda
ye sab jauhar hamare the kabhi ai wae-mahrumi
bane hain KHubi-e-qismat se jo ab ghair ka hissa
agar ho jaen raghib ab bhi hum talim ki jaanib
to kar sakte hain ab bhi mulk mein hum zindagi paida
bahut kuchh waqt hum ne kho diya hai lekin is par bhi
agar chahen to kar den pesh-rau ko apne hum paspa
nikamma kar diya hai kahili ne go hamein lekin
ragon mein hai hamari KHun abhi tak dauDta phirta
koi maKHfi hararat gar hamare dil ko garma de
hamare jism mein phir zindagi ki ruh dauDa de
watan walo bahut ghafil rahe ab hosh mein aao
uTho be-dar ho aql-o-KHirad ko kaam mein lao
tumhaare qaum ke bachchon mein hai talim ka fuqdan
ye gutthi saKHt pechida hai is ko jald suljhao
yahi bachche bil-aKHir tum sabhon ke ja-nashin honge
tum apne samne jaisa unhen chaho bana jao
bahut hi ranj-dah ho jaegi us waqt ki ghaflat
kahin aisa na ho mauqa nikal jaane pe pachhtao
ye hai kar-e-aham do chaar is ko kar nahin sakte
KHuda-ra tum bhi apne farz ka ehsas farmao
ye bojh aisa nahin jis ko uTha len chaar chhe mil kar
sahaara do, sahaara dusron se is mein dilwao
jo zi-ehsas hain hasil karo tum KHidmaten un ki
jo zi-parwa hain un ko jis tarah ho us taraf lao
gharaz jaise bhi ho jis shakl se bhi ho ye lazim hai
tum apne qaum ke bachchon ko ab talim dilwao
agar tum mustaiddi ko bana loge shiar apna
yaqin jaano ki mustaqbil hai behad shandar apna
KHudawanda! duaon mein hamari ho asar paida
shab-e-ghaflat hamari phir kare nur-e-sahar paida
hamare sare KHwabida qawa be-dar ho jaen
sar-e-nau ho phir in mein zindagi ki karr-o-farr paida
hamein ehsas ho hum kaun the aur aaj hum kya hain
karen mahaul-e-mulki ke liye gahri nazar paida
mila rakkha hai apne jauhar-e-kaamil ko miTTi mein
hum ab bhi KHak se kar sakte hain lal-o-guhar paida
agar chahen to hum mushkil watan ki dam mein hal kar den
hazaron suraten kar sakte hain hum kargar paida
ba-zahir go hum ek tuda hain bilkul rakh ka lekin
agar chahen to KHakistar se kar den sau sharar paida
watan ka nakbat o aflas kho den hum ishaare mein
jahan Thokar laga den ho wahin se kan-e-zar paida
hum is manzil ke aaKHir par pahunch kar bil-yaqin dam len
agar kuchh taza-dam ho jaen apne ham-safar paida
jo koshish muttahid ho kar kahin ek bar ho jae
yaqin hai mulk ki qismat ka beDa par ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.