iltija
ab na chehre pe ujālā
na garebāñ meñ sahar
āñkheñ ḳhāmosh
butoñ kī mānind
yaas bādal kī tarah chhā.ī huī
rāheñ ghabrā.ī huī
ek ik aañkh ne paḌh lī
vo ibārat yaaro
jo mire chehre pe qassam-e-azal ne likhī
us ibārat kā har ik lafz banā hai kaasa
maiñ savālī nazar aane lagā
sar-tā-ba-qadam
āñkheñ ḳhāmosh
butoñ kī mānind
chāhtā huuñ ki baras jaa.eñ ye āñkheñ
khul kar jism taaza ho to shāyad shagūfe kī numū
jabr kī dhuup meñ bhī
hans paḌeñ ḳhvāboñ ke kañval
mere chehre pe jo likhī hai ibārat
us ke
ek ik lafz ke chehre pe ujālā ho
garebāñ meñ sahar
iltijā kartā huuñ
us qādir-e-mutlaq ke huzūr
geñd-e-shab meñ mah-o-najm sajā.e jis ne
shahr-e-dil meñ na sahī chāñd sitāre lekin
us kī dīvāroñ ke hisse meñ darīcha de de
lāla-o-gul kī zarūrat nahīñ is gulshan ko
ho sake gar to koī phuul sā chehra de de
jism baḳhshe haiñ tamannāoñ ko jab patthar ke
dast-e-ummīd meñ sāġhar na de
tesha de de
ab na chehre pe ujala
na gareban mein sahar
aankhen KHamosh
buton ki manind
yas baadal ki tarah chhai hui
rahen ghabrai hui
ek ek aankh ne paDh li
wo ibarat yaro
jo mere chehre pe qassam-e-azal ne likhi
us ibarat ka har ek lafz bana hai kasa
main sawali nazar aane laga
sar-ta-ba-qadam
aankhen KHamosh
buton ki manind
chahta hun ki baras jaen ye aankhen
khul kar jism taza ho to shayad shagufe ki numu
jabr ki dhup mein bhi
hans paDen KHwabon ke kanwal
mere chehre pe jo likhi hai ibarat
us ke
ek ek lafz ke chehre pe ujala ho
gareban mein sahar
iltija karta hun
us qadir-e-mutlaq ke huzur
gend-e-shab mein mah-o-najm sajae jis ne
shahr-e-dil mein na sahi chand sitare lekin
us ki diwaron ke hisse mein daricha de de
lala-o-gul ki zarurat nahin is gulshan ko
ho sake gar to koi phul sa chehra de de
jism baKHshe hain tamannaon ko jab patthar ke
dast-e-ummid mein saghar na de
tesha de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.