iltija-e-musafir
na itnā tez chalo ki thak jaao
na itnā ruk ruk ke chalo ki jam jaao
na kholo lab yuuñ bhī
na in ko itnā band karo
ki jin par na shabnam bhī Thahar paa.e
na do āvāz itnī āhista
jise sunñe ke liye ruuh bhī taras jaa.e
na us ko itnā baḌhāo
ki merā vajūd mere liye azaab ban jaa.e
na raho itne masrūr
ki maiñ hākim-e-vaqt ban jā.ūñ
na raho udaas itne
ki maiñ vaqt se pahle hī be-maut mar jā.ūñ
na is qadar bikhrāo apnī zulfoñ ko
ki ghane ghane saa.e bhī saham jaa.eñ
na un ko itnā sañvāro
ki chalte log raah meñ ruk jaa.eñ
na raho itne duur ki maiñ taras jā.ūñ
na aao itne qarīb ki maiñ jhulas jā.ūñ
na itnā tez chalo ki thak jaao
na itnā ruk ruk ke chalo ki jam jaao
na itna tez chalo ki thak jao
na itna ruk ruk ke chalo ki jam jao
na kholo lab yun bhi
na in ko itna band karo
ki jin par na shabnam bhi Thahar pae
na do aawaz itni aahista
jise sunne ke liye ruh bhi taras jae
na us ko itna baDhao
ki mera wajud mere liye azab ban jae
na raho itne masrur
ki main hakim-e-waqt ban jaun
na raho udas itne
ki main waqt se pahle hi be-maut mar jaun
na is qadar bikhrao apni zulfon ko
ki ghane ghane sae bhi saham jaen
na un ko itna sanwaro
ki chalte log rah mein ruk jaen
na raho itne dur ki main taras jaun
na aao itne qarib ki main jhulas jaun
na itna tez chalo ki thak jao
na itna ruk ruk ke chalo ki jam jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.