iltija
ham vo nahīñ jo tum samajhte ho
ham vo haiñ jo tum nahīñ samajhte
ham laash ke muñh pe apnī nazm kī miTTī Dālte haiñ
aur chain se so jaate haiñ
sub.h uTh kar kaam kī talāsh meñ nikalte haiñ
hameñ aise mat dekho
jaise sūkhī ghaas bādal ko dekhtī hai
hameñ aise dekho
jaise marne vaalā gorkan ko dekhtā hai
hum wo nahin jo tum samajhte ho
hum wo hain jo tum nahin samajhte
hum lash ke munh pe apni nazm ki miTTi Dalte hain
aur chain se so jate hain
subh uTh kar kaam ki talash mein nikalte hain
hamein aise mat dekho
jaise sukhi ghas baadal ko dekhti hai
hamein aise dekho
jaise marne wala gorkan ko dekhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.