iltija
ye aurat hai
ise tum saat pardoñ meñ chhupāo
ise tum bāñdh kar rakkho
ye bakrī se zyāda qīmtī hai
ki bakrī duudh detī hai
magar jab kaaT kar khā lo
to phir kuchh bhī nahī rahtā
ye aurat hai use kachchā chabā lo
phir bhī ye zinda rahegī
aur tumhāre kaam aa.egī
tum is ke zehn o dil par
aur is ke jism ke
ek ek hisse par
ḳhalā meñ palne vaale ḳhauf kā
pahra biThā do
ye maañ ho yā bahan
biivī ho mahbūba ho beTī ho
tumhārī ḳhādima ho yā tavā.if ho
tumhāre kaam aa.egī
maiñ ik aasī
bahut nāchīz banda huuñ
mirī ik iltijā hai
ki jab us din
ghanī dāḌhī kā ek ik baal gin kar
tumheñ hūreñ mileñgī
to un hūroñ ke sadqe meñ
zamīñ par basne vaalī
is haqīr aurat kī sab kamzoriyāñ
saarī ḳhatā.eñ maaf kar denā
ise bhī baḳhshvā denā
ye aurat hai
ise tum sat pardon mein chhupao
ise tum bandh kar rakkho
ye bakri se zyaada qimti hai
ki bakri dudh deti hai
magar jab kaT kar kha lo
to phir kuchh bhi nahi rahta
ye aurat hai use kachcha chaba lo
phir bhi ye zinda rahegi
aur tumhaare kaam aaegi
tum is ke zehn o dil par
aur is ke jism ke
ek ek hisse par
KHala mein palne wale KHauf ka
pahra biTha do
ye man ho ya bahan
biwi ho mahbuba ho beTi ho
tumhaari KHadima ho ya tawaif ho
tumhaare kaam aaegi
main ek aasi
bahut nachiz banda hun
meri ek iltija hai
ki jab us din
ghani daDhi ka ek ek baal gin kar
tumhein huren milengi
to un huron ke sadqe mein
zamin par basne wali
is haqir aurat ki sab kamzoriyan
sari KHataen maf kar dena
ise bhi baKHshwa dena
- Book : ishq ki taqweem men (Pg. 214)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.