maiñ bhī us hall meñ baiThā thā
jahāñ parde pe ik film ke kirdār
zinda-jāved nazar aate the
un kī har baat baḌī, soch baḌī, karm baḌe
un kā har ek amal
ek tamsīl thī bas dekhne vāloñ ke liye
maiñ adākār thā us meñ
tum adākāra thiiñ
apne mahbūb kā jab haath pakaḌ kar tum ne
zindagī ek nazar meñ bhar ke
us ke siine pe bas ik aañsū se likh kar de dī
kitne sachche the vo kirdār
jo parde par the
kitne farzī the vo do haal meñ baiThe saa.e
main bhi us hall mein baiTha tha
jahan parde pe ek film ke kirdar
zinda-jawed nazar aate the
un ki har baat baDi, soch baDi, karm baDe
un ka har ek amal
ek tamsil thi bas dekhne walon ke liye
main adakar tha us mein
tum adakara thin
apne mahbub ka jab hath pakaD kar tum ne
zindagi ek nazar mein bhar ke
us ke sine pe bas ek aansu se likh kar de di
kitne sachche the wo kirdar
jo parde par the
kitne farzi the wo do haal mein baiThe sae
- Book : Pukhraj (Pg. 99)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa Publications India Pvt. (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.