imbisat-e-azli
ūñchī nīchī duub par lahrātā huā kaalā naag
jhiil ke bāñhoñ se phūTtā huā jvālāmukhī
rañg-birañge panchhī ko panjoñ meñ dabā.e hue baaz
chaTTānoñ ke pīchhe murda jānvar kī sāf-o-shaffāf ThiThurī par
bhāgte hue siyāh chūhoñ kī qatār
chāñdnī raat meñ machhlī par jhapaTtā huā ūd-bilāv
patiñge ko pakaḌne ke liye lapaktī huī chhipkilī
surma.ī shaam ke malgaje ākāsh par chaḌhtī huī āñdhī
ye saare manāzir mahā-nagar ke ek kamre meñ
video par dekh rahā huuñ
aur
ahd-e-hajar ke apne buzurgoñ ke fitrī ḳhauf-o-tajassus se bhare hue
imbisāt ko apnī ragoñ se
sargoshiyāñ karte hue pā rahā huuñ
unchi nichi dub par lahraata hua kala nag
jhil ke banhon se phuTta hua jwalamukhi
rang-birange panchhi ko panjon mein dabae hue baz
chaTTanon ke pichhe murda jaanwar ki saf-o-shaffaf ThiThuri par
bhagte hue siyah chuhon ki qatar
chandni raat mein machhli par jhapaTta hua ud-bilaw
patinge ko pakaDne ke liye lapakti hui chhipkili
surmai sham ke malgaje aakash par chaDhti hui aandhi
ye sare manazir maha-nagar ke ek kamre mein
wideo par dekh raha hun
aur
ahd-e-hajar ke apne buzurgon ke fitri KHauf-o-tajassus se bhare hue
imbisat ko apni ragon se
sargoshiyan karte hue pa raha hun
- Book : doob (Pg. 97)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.