imkan
dīvāroñ kī rangat badlī
īñToñ kī darzoñ meñ
ghaas ug aa.ī
āñgan meñ
malbe ke Dher paḌe haiñ
jo in mahal-numā dīvāroñ par
leTe
jaane kin kin par saaya karte haiñ
mausam kī tabdīlī par
ḳhush hote haiñ
barsātoñ meñ nahā lete haiñ
ab ye khañDaroñ kī shakloñ meñ
badal ga.e haiñ
ab in kī nīlāmī hogī
aur khudeñgī
na.ī tā’mīroñ kī
buniyādeñ
diwaron ki rangat badli
inTon ki darzon mein
ghas ug aai
aangan mein
malbe ke Dher paDe hain
jo in mahal-numa diwaron par
leTe
jaane kin kin par saya karte hain
mausam ki tabdili par
KHush hote hain
barsaton mein naha lete hain
ab ye khanDaron ki shaklon mein
badal gae hain
ab in ki nilami hogi
aur khudengi
nai ta’miron ki
buniyaaden
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.