imkan
mire lafz mere lahū kī lau
mire dil kī lai jise nūr-e-nai kī talāsh hai
mire ashk mere vo harf haiñ jo mire laboñ pe na aa sake
maiñ agar kahūñ bhī to kyā kahūñ
ki hanūz merī zabāñ meñ hai vahī nā-kushūda-girah ki thī
tū sune to abr bhī naġhma hai
tū sune to mauj-e-havā bhī raag kī taan hai
tū sune to paat bhī phuul bhī kisī gupt giit ke bol haiñ
gul-o-yāsman hoñ ki mehr-o-māh
har ik apnī saut-o-sadā meñ kāmil-o-tām hai
mirā lafz nāqis-o-ḳhām hai
rahā nā-tamām jo kah sakā
jo na kah sakā vahī baat asl-e-kalām hai
tū sune to koī ajab nahīñ
ki mirī navā kā hunar khule
tū sune to koī ajab nahīñ
ki suḳhan kā sātvāñ dar khule
mere lafz mere lahu ki lau
mere dil ki lai jise nur-e-nai ki talash hai
mere ashk mere wo harf hain jo mere labon pe na aa sake
main agar kahun bhi to kya kahun
ki hanuz meri zaban mein hai wahi na-kushuda-girah ki thi
tu sune to abr bhi naghma hai
tu sune to mauj-e-hawa bhi rag ki tan hai
tu sune to pat bhi phul bhi kisi gupt git ke bol hain
gul-o-yasman hon ki mehr-o-mah
har ek apni saut-o-sada mein kaamil-o-tam hai
mera lafz naqis-o-KHam hai
raha na-tamam jo kah saka
jo na kah saka wahi baat asl-e-kalam hai
tu sune to koi ajab nahin
ki meri nawa ka hunar khule
tu sune to koi ajab nahin
ki suKHan ka satwan dar khule
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 333)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.