imtihan mein kaamyabi
natīja sun ke ka.ī log bad-havās hue
ḳhudā kā shukr hai ham imtihāñ meñ paas hue
sila milā hai hameñ saal bhar kī mehnat kā
chamak rahā hai sitāra hamārī qismat kā
yahī to vaqt milā hai hameñ masarrat kā
jo fail ho ga.e vo kis qadar udaas hue
ḳhudā kā shukr hai ham imtihāñ meñ paas hue
vo imtihān meñ rātoñ ko jaag kar paḌhnā
vo niiñd āñkhoñ meñ chhā.ī huī magar paḌhnā
vo aadhī raat se bistar pe tā-sahar paḌhnā
zahe-nasīb vo lamhāt ham ko raas hue
ḳhudā kā shukr hai ham imtihāñ meñ paas hue
jo khel-kūd meñ din-rāt chuur rahte the
har ek khel meñ shāmil zarūr rahte the
jo sub.h-o-shām kitāboñ se duur rahte the
jahāñ meñ aaj vahī mubtalā-e-yās hue
ḳhudā kā shukr hai ham imtihāñ meñ paas hue
jinheñ thā apnī liyāqat pe e'tibār bahut
jinheñ ḳhud apne qalam par thā iḳhtiyār bahut
jo apne aap ko samjhe the hoshiyār bahut
unhīñ ke hosh uḌe aur gum havās hue
ḳhudā kā shukr hai ham imtihāñ meñ paas hue
natija sun ke kai log bad-hawas hue
KHuda ka shukr hai hum imtihan mein pas hue
sila mila hai hamein sal bhar ki mehnat ka
chamak raha hai sitara hamari qismat ka
yahi to waqt mila hai hamein masarrat ka
jo fail ho gae wo kis qadar udas hue
KHuda ka shukr hai hum imtihan mein pas hue
wo imtihan mein raaton ko jag kar paDhna
wo nind aankhon mein chhai hui magar paDhna
wo aadhi raat se bistar pe ta-sahar paDhna
zahe-nasib wo lamhat hum ko ras hue
KHuda ka shukr hai hum imtihan mein pas hue
jo khel-kud mein din-raat chur rahte the
har ek khel mein shamil zarur rahte the
jo subh-o-sham kitabon se dur rahte the
jahan mein aaj wahi mubtala-e-yas hue
KHuda ka shukr hai hum imtihan mein pas hue
jinhen tha apni liyaqat pe e'tibar bahut
jinhen KHud apne qalam par tha iKHtiyar bahut
jo apne aap ko samjhe the hoshiyar bahut
unhin ke hosh uDe aur gum hawas hue
KHuda ka shukr hai hum imtihan mein pas hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.