imtihan se pahle
shaan kī fikr hai na aan kī hai
ab mujhe fikr imtihān kī hai
paḌh rahā huuñ kitāb mehnat se
hūñgā maiñ kāmyāb mehnat se
first aanā hai mujh ko ab kī baar
kuchh dikhānā hai mujh ko ab kī baar
apnī mehnat kī laaj rakhnī hai
kal kī buniyād aaj rakhnī hai
faurī kar lūñgā maiñ agar mehnat
imtihāñ se na hogī kuchh vahshat
saal bhar maiñ ne kī hai tayyārī
mujh pe kyoñ koī ḳhauf ho taarī
kaam mushkil kā kar liyā maiñ ne
koī uljhan nahīñ mire aage
mujh ko ab sāl-bhar kī mehnat kā
sāmne rakhnā hai bas ik ḳhāka
har sabaq kā shumār karnā hai
sab ko phir ek baar paḌhnā hai
kuchh jo bhūlā ho yaad ho jaa.e
kaam se dil bhī shaad ho jaa.e
koī laġhzish agar nahīñ hogī
bhuul bhī vaqt par nahīñ hogī
rafta rafta jo kaam hotā hai
us meñ kuchh intizām hotā hai
koī uljhan na be-qarārī hai
phir bhī ik kaifiyat sī taarī hai
us se fursat milegī dhyān ke ba.ad
chain aa.egā imtihān ke ba.ad
shan ki fikr hai na aan ki hai
ab mujhe fikr imtihan ki hai
paDh raha hun kitab mehnat se
hunga main kaamyab mehnat se
first aana hai mujh ko ab ki bar
kuchh dikhana hai mujh ko ab ki bar
apni mehnat ki laj rakhni hai
kal ki buniyaad aaj rakhni hai
fauri kar lunga main agar mehnat
imtihan se na hogi kuchh wahshat
sal bhar main ne ki hai tayyari
mujh pe kyon koi KHauf ho tari
kaam mushkil ka kar liya main ne
koi uljhan nahin mere aage
mujh ko ab sal-bhar ki mehnat ka
samne rakhna hai bas ek KHaka
har sabaq ka shumar karna hai
sab ko phir ek bar paDhna hai
kuchh jo bhula ho yaad ho jae
kaam se dil bhi shad ho jae
koi laghzish agar nahin hogi
bhul bhi waqt par nahin hogi
rafta rafta jo kaam hota hai
us mein kuchh intizam hota hai
koi uljhan na be-qarari hai
phir bhi ek kaifiyat si tari hai
us se fursat milegi dhyan ke baad
chain aaega imtihan ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.