imtihan
imtihāñ sar par hai laḌke laḌkiyāñ haiñ aur kitāb
date-shēt aa.ī to goyā aa gayā yaum-ul-hisāb
sirf ik kāġhaz ke purze se huā ye inqalāb
ḳhud-ba-ḳhud har ik sharārat kā huā hai sadd-e-bāb
pahle thiiñ vo shoḳhiyāñ jo āfat-e-jāñ ho ga.iiñ
''lekin ab naqsh-o-nigār-e-tāq-e-nisyāñ ho ga.īñ''
vaqt raTne ke liye kam rah gayā zyāda hai kaam
saal bhar jin ko na dekhā vo ḳhulāse nek-nām
sāmne rakkhe haiñ un ko jhuk ke karte haiñ salām
un kī puujā hī meñ saarā vaqt hotā hai tamām
television bhī nahīñ ġhā.eb hue haiñ saare khel
Daal kar kolhū meñ bachchoñ ko nikālo un kā tel
āj-kal bhūle hue haiñ sab election aur debate
practical kī copiyoñ ke āj-kal bharte haiñ peT
hāzirī ab kaun bole kaun ab aa.egā leT
college aur schōl haiñ sunsān ḳhālī in ke gate
band hai kamre ke andar gardish-e-lail-o-nahār
kyā ḳhabar aa.ī ḳhizāñ kab kab ga.ī fasl-e-bahār
imtihāñ kā bhuut hai yā hai qayāmat kā samāñ
ammī aur abbā se chhup kar ro rahī haiñ laḌkiyāñ
kahte haiñ laḌke kiyā karte the jo aTkheliyāñ
''yād thiiñ ham ko bhī rañgā-rañg bazm-ārā.iyāñ''
ab hiran kī tarah se bhūle hue haiñ chaukḌī
is qadar raTnā paḌā hai jal uThī hai khopaḌī
haal par bachchoñ ke haiñ behad pareshāñ vāldain
saath meñ aulād ke un kā uḌā jaatā hai chain
garche hai ta.alīm aur raTne meñ bo.ad-ul-mashriqain
sochte haiñ vo ki achchhā zehn hai ḳhāliq kī den
kyā ḳhabar thī is tarah jī kā ziyāñ ho jā.egā
''ya.anī ye pahle hī nazr-e-imtehāñ ho jā.egā''
raat bhar jāgeñge vo jo saal bhar sote rahe
kāTne jaate haiñ gandum garche jau bote rahe
kyā tavaqqo un se rakkheñ fail jo hote rahe
naql kar ke daaġh ko dāman se jo dhote rahe
naqsh fariyādī hai in kī shoḳhī-e-tahrīr kā
ma.arka hotā hai ab tadbīr kā taqdīr kā
jo savāl important aatā hai har ik baab meñ
ġhaur se dekhā hai us ko din-dahāḌe ḳhvāb meñ
ho gayā huuñ is liye bad-nām maiñ as.hāb meñ
out kar Daalā hai paper ālam-e-asbāb meñ
kuchh to hai āḳhir jo guess paper meñ aayā yaad thā
jis ne paper set kiyā hai vo mirā ustād thā
imtihan sar par hai laDke laDkiyan hain aur kitab
date-sheet aai to goya aa gaya yaum-ul-hisab
sirf ek kaghaz ke purze se hua ye inqalab
KHud-ba-KHud har ek shararat ka hua hai sadd-e-bab
pahle thin wo shoKHiyan jo aafat-e-jaan ho gain
lekin ab naqsh-o-nigar-e-taq-e-nisyan ho gain
waqt raTne ke liye kam rah gaya zyaada hai kaam
sal bhar jin ko na dekha wo KHulase nek-nam
samne rakkhe hain un ko jhuk ke karte hain salam
un ki puja hi mein sara waqt hota hai tamam
telewision bhi nahin ghaeb hue hain sare khel
Dal kar kolhu mein bachchon ko nikalo un ka tel
aaj-kal bhule hue hain sab election aur debate
practical ki copiyon ke aaj-kal bharte hain peT
haziri ab kaun bole kaun ab aaega leT
college aur school hain sunsan KHali in ke gate
band hai kamre ke andar gardish-e-lail-o-nahaar
kya KHabar aai KHizan kab kab gai fasl-e-bahaar
imtihan ka bhut hai ya hai qayamat ka saman
ammi aur abba se chhup kar ro rahi hain laDkiyan
kahte hain laDke kiya karte the jo aTkheliyan
yaad thin hum ko bhi ranga-rang bazm-araiyan
ab hiran ki tarah se bhule hue hain chaukDi
is qadar raTna paDa hai jal uThi hai khopaDi
haal par bachchon ke hain behad pareshan waldain
sath mein aulad ke un ka uDa jata hai chain
garche hai talim aur raTne mein boad-ul-mashriqain
sochte hain wo ki achchha zehn hai KHaliq ki den
kya KHabar thi is tarah ji ka ziyan ho jaega
yani ye pahle hi nazr-e-imtehan ho jaega
raat bhar jagenge wo jo sal bhar sote rahe
kaTne jate hain gandum garche jau bote rahe
kya tawaqqo un se rakkhen fail jo hote rahe
naql kar ke dagh ko daman se jo dhote rahe
naqsh fariyaadi hai in ki shoKHi-e-tahrir ka
marka hota hai ab tadbir ka taqdir ka
jo sawal important aata hai har ek bab mein
ghaur se dekha hai us ko din-dahaDe KHwab mein
ho gaya hun is liye bad-nam main ashab mein
out kar Dala hai paper aalam-e-asbab mein
kuchh to hai aaKHir jo guess paper mein aaya yaad tha
jis ne paper set kiya hai wo mera ustad tha
- Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 163)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (P.k.) (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.