imtinaa ka mahina
is mahīne meñ ġhārat-garī man.a thii, peḌ kaTte na the tiir bikte na the
be-ḳhatar thī zamīñ mustaqar ke liye
is mahīne meñ ġhārat-garī man.a thii, ye purāne sahīfoñ meñ mazkūr hai
qātiloñ, rahzanoñ meñ ye dastūr thaa, is mahīnoñ kī hurmat ke e.azāz meñ
dosh par gardan-e-ḳham salāmat rahe
karbalāoñ meñ utre hue kārvānoñ kī mashkoñ kā paanī amānat rahe
merī taqvīm meñ bhī mahīna hai ye
is mahīne ka.ī tishna-lab sā.ateñ, be-gunāhī ke katbe uThā.e hue
roz o shab bain kartī haiñ dahlīz par aur zanjīr-e-dar mujh se khultī nahīñ
farsh-e-hamvār par paañv chaltā nahīñ
dil dhaḌaktā nahīñ
is mahīne maiñ ghar se nikaltā nahīñ
is mahine mein ghaarat-gari mana thi, peD kaTte na the tir bikte na the
be-KHatar thi zamin mustaqar ke liye
is mahine mein ghaarat-gari mana thi, ye purane sahifon mein mazkur hai
qatilon, rahzanon mein ye dastur tha, is mahinon ki hurmat ke eazaz mein
dosh par gardan-e-KHam salamat rahe
karbalaon mein utre hue karwanon ki mashkon ka pani amanat rahe
meri taqwim mein bhi mahina hai ye
is mahine kai tishna-lab saaten, be-gunahi ke katbe uThae hue
roz o shab bain karti hain dahliz par aur zanjir-e-dar mujh se khulti nahin
farsh-e-hamwar par panw chalta nahin
dil dhaDakta nahin
is mahine main ghar se nikalta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.