imtiyaz
nuur kī be-e'tinā.ī
jis tarah tārīkiyāñ
jis tarah buniyād-e-shar hai
ḳhair kī ḳhāmoshiyāñ
chhāñv jaise
dhuup kī hai bebasī
har sazā kā jis tarah radd-e-amal hai sar-kashī
jaise ik Daalī ke haiñ do phuul
ḳhauf-o-i’tiqād
ḳhud-farebī kī jaḌoñ ko ghaav pahuñchātā hai
jaise e'timād
jis tarah parchhā.īñ Thahre jazb kī kam-mā.egī
dushmanī kā tuḳhm jaise dostī
habs
jaise hai bagūloñ kā ḳhudā
jis tarah parvāz kā hai ḳhabt marhūn-e-havā
jis tarah ḳhāliq tasavvur kā dimāġh
jaise sūraj kī tavānā.ī charāġh
haañ
kuchh aisā hī ta.alluq
tere mere darmiyāñ hai
ḳhvāb sā ik rishta-e-sūd-o-ziyāñ hai
nur ki be-e'tinai
jis tarah tarikiyan
jis tarah buniyaad-e-shar hai
KHair ki KHamoshiyan
chhanw jaise
dhup ki hai bebasi
har saza ka jis tarah radd-e-amal hai sar-kashi
jaise ek Dali ke hain do phul
KHauf-o-i’tiqad
KHud-farebi ki jaDon ko ghaw pahunchata hai
jaise e'timad
jis tarah parchhain Thahre jazb ki kam-maegi
dushmani ka tuKHm jaise dosti
habs
jaise hai bagulon ka KHuda
jis tarah parwaz ka hai KHabt marhun-e-hawa
jis tarah KHaliq tasawwur ka dimagh
jaise suraj ki tawanai charagh
han
kuchh aisa hi talluq
tere mere darmiyan hai
KHwab sa ek rishta-e-sud-o-ziyan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.