in kitabon mein band ujale hain
aadmī kā vaqār ilm se hai
zindagī kī bahār ilm se hai
ilm se bahra-var jo hote haiñ
nekiyāñ vo zamīñ meñ bote haiñ
ilm hai raushnī charāġh hai ilm
dil kī dhaḌkan hai aur dimāġh hai ilm
haiñ jo ilm-e-kitāb se mahrūm
un ko duniyā meñ kuchh nahīñ mālūm
un kā jiinā bhī hai koī jiinā
aañkh to hai magar haiñ nā-bīnā
jahl zulmat hai raushnī hai ilm
maut añdherā hai zindagī hai ilm
jaise ḳhushbū har ik gulāb meñ hai
ilm bhī band har kitāb meñ hai
ye kitāb aisī ek khetī hai
kuchh na kuchh aadmī ko detī hai
ilm se phuul dil kā khiltā hai
āgahī kā surāġh miltā hai
jānte haiñ jo paḌhne vaale haiñ
in kitāboñ meñ band ujāle haiñ
duniyā bhar kī zabāneñ boltīñ haiñ
zehn ke dar kitāb kholtī haiñ
jo kitāboñ se duur rahte haiñ
umr bhar be-shu.ūr rahte haiñ
sach to ye hai kitāb hai bhaa.ī
sab se behtar rafīq-e-tanhā.ī
merā 'ejāz' mashvara hai yahī
tum bhī jā kar paḌho kitāb koī
aadmi ka waqar ilm se hai
zindagi ki bahaar ilm se hai
ilm se bahra-war jo hote hain
nekiyan wo zamin mein bote hain
ilm hai raushni charagh hai ilm
dil ki dhaDkan hai aur dimagh hai ilm
hain jo ilm-e-kitab se mahrum
un ko duniya mein kuchh nahin malum
un ka jina bhi hai koi jina
aankh to hai magar hain na-bina
jahl zulmat hai raushni hai ilm
maut andhera hai zindagi hai ilm
jaise KHushbu har ek gulab mein hai
ilm bhi band har kitab mein hai
ye kitab aisi ek kheti hai
kuchh na kuchh aadmi ko deti hai
ilm se phul dil ka khilta hai
aagahi ka suragh milta hai
jaante hain jo paDhne wale hain
in kitabon mein band ujale hain
duniya bhar ki zabanen boltin hain
zehn ke dar kitab kholti hain
jo kitabon se dur rahte hain
umr bhar be-shuur rahte hain
sach to ye hai kitab hai bhai
sab se behtar rafiq-e-tanhai
mera 'ejaz' mashwara hai yahi
tum bhi ja kar paDho kitab koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.