15 august
Interesting Fact
Written: Saturday, January 8, 1977
har sū hai bahār-e-māh-e-august
hai dil meñ qarār-e-māh-e-august
apnā hai chaman apnā hai vatan
apnā hai jahān-e-āzādī
hai hāthoñ meñ āzādī kā alam
hai sab se judā apnā parcham
āzād hai ab apnā maskan
ūñchā hai nishān-e-āzādī
dhartī ko sajā.eñge ham sab
gulzār banā.eñge ham sab
ham sab ko taraqqī kī hai lagan
dikhlā.eñge shān-e-āzādī
is desh kī har shai hai pyārī
har chiiz yahāñ kī hai niyāzī
kashmīr himāla gañg-o-jaman
karte haiñ bayān-e-āzādī
bachche haiñ magar himmat vaale
haiñ āzādī ke rakhvāle
kar deñge zamāne ko raushan
ham log haiñ jān-e-āzādī
har su hai bahaar-e-mah-e-august
hai dil mein qarar-e-mah-e-august
apna hai chaman apna hai watan
apna hai jahan-e-azadi
hai hathon mein aazadi ka alam
hai sab se juda apna parcham
aazad hai ab apna maskan
uncha hai nishan-e-azadi
dharti ko sajaenge hum sab
gulzar banaenge hum sab
hum sab ko taraqqi ki hai lagan
dikhlaenge shan-e-azadi
is desh ki har shai hai pyari
har chiz yahan ki hai niyazi
kashmir himala gang-o-jaman
karte hain bayan-e-azadi
bachche hain magar himmat wale
hain aazadi ke rakhwale
kar denge zamane ko raushan
hum log hain jaan-e-azadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.