Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fanus-e-hind ka shoala

Zafar Ali Khan

fanus-e-hind ka shoala

Zafar Ali Khan

MORE BYZafar Ali Khan

    zinda-bāsh ai inqalāb ai shola-e-fānūs-e-hind

    garmiyāñ jis faroġh-e-manqal-e-jāñ ho ga.iiñ

    bastiyoñ par chhā rahī thiiñ maut ḳhāmoshiyāñ

    ne suur apnā jo phūñkā mahsharistāñ ho ga.iiñ

    jitnī būñdeñ thiiñ shahīdān-e-vatan ke ḳhuun

    qasre-āzādī ārā.ish sāmāñ ho ga.iiñ

    marhabā ai nau-giraftārān-e-bedād-e-farañg

    jin zanjīreñ ḳharosh-afzā-e-zindāñ ho ga.iiñ

    zindagī un hai diin un hai duniyā un hai

    jin jāneñ qaum izzat pe qurbāñ ho ga.iiñ

    zinda-bash ai inqalab ai shola-e-fanus-e-hind

    garmiyan jis ki farogh-e-manqal-e-jaan ho gain

    bastiyon par chha rahi thin maut ki KHamoshiyan

    tu ne sur apna jo phunka mahsharistan ho gain

    jitni bunden thin shahidan-e-watan ke KHun ki

    qasre-azadi ki aaraish ka saman ho gain

    marhaba ai nau-giraftaran-e-bedad-e-farang

    jin ki zanjiren KHarosh-afza-e-zindan ho gain

    zindagi un ki hai din un ka hai duniya un ki hai

    jin ki jaanen qaum ki izzat pe qurban ho gain

    Source :
    • Book : Azadi Ki Nazmein (Pg. 36)
    • Author : Sibte Hasan
    • Publication : National Council For Promotion Of Urdu Language (1985,2007)
    • Edition : 1985,2007

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now