jashn-e-azadi
ghuggiyoñ par TaaT ke parde paḌe the
fōtpath par qatār pe qatār Dhāñche paḌe the
kaale piile āseb-zada chehre khaḌe the
phaTe-purāne jism par latte paḌe the
dhuul se un ke chehre aTe paḌe the
haath ḳhālī
peT ḳhālī
roTiyoñ ke laale paḌe the
mere mulk ke ye bachche matvāle baḌe the
bhārat-māñ kī jai ke na.are lage the
ki ye bachche
jashn-e-āzādī manā rahe the
ghuggiyon par TaT ke parde paDe the
footpath par qatar pe qatar Dhanche paDe the
kale pile aaseb-zada chehre khaDe the
phaTe-purane jism par latte paDe the
dhul se un ke chehre aTe paDe the
hath KHali
peT KHali
roTiyon ke lale paDe the
mere mulk ke ye bachche matwale baDe the
bhaarat-man ki jai ke nare lage the
ki ye bachche
jashn-e-azadi mana rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.