jashn-e-azadi
pattiyāñ kitnī bhī aa.eñ jaa.eñ
svatantrtā divas kī hārdik shubh kāmnā.eñ
desh kā koī bhī galī kūcha rahe
tirañgā hamesha sab se ūñchā rahe
tirañge meñ kesariyā safed harā rañg haiñ
tirañge ke rañg hamāre desh ke añg haiñ
kesariyā sūrya harā vikās kā partīk
safed shāñtī aur dharm nirbhīk
tīnoñ se mil kar tirañgā bantā hai
santulan banā.e rakhne ke liye sarkār jantā hai
bas ek rañg ko gar ziyāda mahatv deñge
to desh kā santulan bigāḌ leñge
jab jantā sarkār hī santulan bigāḌne lag jaa.e
to phir desh ko bas jai shrī raam hī bachā.e
sahī ko sahī ġhalat ko ġhalat kahnā
desh-bhaktī zimme-dārī kā hai gahnā
yadi ham anaitik ko anaitik na kah paa.eñ
to is se achchhā hai ki ham gūñge ho jaa.eñ
aa.iye koshish kareñ kī zimmedār baneñ
aa.iye koshish kareñ kī īmān-dār baneñ
desh zindabād hī rahegā gar ham zimmedār na baneñ
desh zindabād hī rahegā gar ham īmān-dār na baneñ
desh zindabād hī rahegā gar ham kuchh bhī na baneñ
gar kuchh bhī na kar sakeñ to bas itnā kareñ
ham mānavtā ke virudh kabhī hathiyār na baneñ
vipattiyāñ kitnī bhī aa.eñ jaa.eñ
svatantrtā divas kī hārdik shubh kāmnā.eñ
pattiyan kitni bhi aaen jaen
swatantrta diwas ki haardik shubh kaamnaen
desh ka koi bhi gali kucha rahe
tiranga hamesha sab se uncha rahe
tirange mein kesariya safed hara rang hain
tirange ke rang hamare desh ke ang hain
kesariya surya hara wikas ka partik
safed shanti aur dharm nirbhik
tinon se mil kar tiranga banta hai
santulan banae rakhne ke liye sarkar janta hai
bas ek rang ko gar ziyaada mahatw denge
to desh ka santulan bigaD lenge
jab janta sarkar hi santulan bigaDne lag jae
to phir desh ko bas jai shri ram hi bachae
sahi ko sahi ghalat ko ghalat kahna
desh-bhakti zimme-dari ka hai gahna
yadi hum anaitik ko anaitik na kah paen
to is se achchha hai ki hum gunge ho jaen
aaiye koshish karen ki zimmedar banen
aaiye koshish karen ki iman-dar banen
desh zindabaad hi rahega gar hum zimmedar na banen
desh zindabaad hi rahega gar hum iman-dar na banen
desh zindabaad hi rahega gar hum kuchh bhi na banen
gar kuchh bhi na kar saken to bas itna karen
hum manawta ke wirudh kabhi hathiyar na banen
wipattiyan kitni bhi aaen jaen
swatantrta diwas ki haardik shubh kaamnaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.