payam-e-azadi
maqām-e-haq hai bilā-shak maqām-e-āzādī
buland arsh se bhī kuchh hai bām-e-āzādī
na ho sakegā kabhī mohtaram jahāñ meñ tū
jo tere dil meñ nahīñ ehtirām-e-āzādī
sunā rahā hai tujhe inqilāb-e-dahr jo kuchh
sun aur ġhaur se sun vo payām-e-āzādī
kahāñ talak ye tabāhī kī zindagī ġhāfil
uTh aur jald banā ik nizām-e-āzādī
uTh aur haath meñ le teġh-e-be-niyām-e-amal
ki hai vasīla-e-fauz-o-marām-e-āzādī
ye zindagī hai tirī maut se sivā bad-tar
ḳhudā ke vāste kar ehtimām-e-āzādī
ġhalat hai ye jo ġhulāmāna zehniyat ke saath
pakā rahā hai tū saudā-e-ḳhām-e-āzādī
pukār yuuñ tirī hargiz sunī na jā.egī
zabān-e-teġh se kar bas kalām-e-āzādī
vatan se la.anat-e-sarmāya ko fanā kar de
jo chāhtā hai baqā-e-davām-e-āzādī
haTā de parda-e-tārīk jabr-o-istibdād
ki nūr-bār ho māh-e-tamām-e-āzādī
maqam-e-haq hai bila-shak maqam-e-azadi
buland arsh se bhi kuchh hai baam-e-azadi
na ho sakega kabhi mohtaram jahan mein tu
jo tere dil mein nahin ehtiram-e-azadi
suna raha hai tujhe inqilab-e-dahr jo kuchh
sun aur ghaur se sun wo payam-e-azadi
kahan talak ye tabahi ki zindagi ghafil
uTh aur jald bana ek nizam-e-azadi
uTh aur hath mein le tegh-e-be-niyam-e-amal
ki hai wasila-e-fauz-o-maram-e-azadi
ye zindagi hai teri maut se siwa bad-tar
KHuda ke waste kar ehtimam-e-azadi
ghalat hai ye jo ghulamana zehniyat ke sath
paka raha hai tu sauda-e-KHam-e-azadi
pukar yun teri hargiz suni na jaegi
zaban-e-tegh se kar bas kalam-e-azadi
watan se lanat-e-sarmaya ko fana kar de
jo chahta hai baqa-e-dawam-e-azadi
haTa de parda-e-tarik jabr-o-istibdad
ki nur-bar ho mah-e-tamam-e-azadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.