yaum-e-azadi
chaman meñ naaz se aThkheliyāñ kartī bahār aa.ī
guloñ kā pairahan pahne vo jān-e-intizār aa.ī
chaman vaale sabhī fart-e-masarrat se pukār uTThe
bahār aa.ī bahār aa.ī bahār aa.ī bahār aa.ī
kahīñ kaliyoñ ko chheḌā hai kahīñ phūloñ ko chūmā hai
gale mil mil ke pattoñ se vo yuuñ rūThī bahār aa.ī
nasība jaag uTThā phir sabhī ahl-e-gulistāñ kā
diloñ kā daaġh dho dho kar vo bār-e-ġham utaar aa.ī
na.ī phir zindagī aa.ī nayā dil meñ surūr aayā
na.e sapne na.e armāñ na.ī aashā ubhār aa.ī
khulā hai mai-kade kā dar aur izn-e-ām hai sab ko
vahāñ par aaj rindoñ kī qatār andar qatār aa.ī
ga.e gulshan pe ġhairoñ ke to mauj-e-rañg-o-bū ban kar
har ik gulshan se ham ko bhī nidā-e-ḳhush-gavār aa.ī
nigāh-e-bad se dekhā hai kisī ne gar gulistāñ ko
to gul-chī kī har ik sāzish hamīñ ko sāzgār aa.ī
jinhoñ ne is chaman ko ḳhuun aur ashkoñ se sīñchā thā
bahār aa.ī to yaad un kī ham ko baar baar aa.ī
na maalī ho kabhī ġhāfil na an-ban ahl-e-gulshan meñ
tabhī samjheñge ham yāroñ haqīqat meñ bahār aa.ī
sadā apne chaman meñ daur-daura ho bahāroñ kā
'habīb' apnī zabāñ par ye duā be-iḳhtiyār aa.ī
chaman mein naz se aThkheliyan karti bahaar aai
gulon ka pairahan pahne wo jaan-e-intizar aai
chaman wale sabhi fart-e-masarrat se pukar uTThe
bahaar aai bahaar aai bahaar aai bahaar aai
kahin kaliyon ko chheDa hai kahin phulon ko chuma hai
gale mil mil ke patton se wo yun ruThi bahaar aai
nasiba jag uTTha phir sabhi ahl-e-gulistan ka
dilon ka dagh dho dho kar wo bar-e-gham utar aai
nai phir zindagi aai naya dil mein surur aaya
nae sapne nae arman nai aasha ubhaar aai
khula hai mai-kade ka dar aur izn-e-am hai sab ko
wahan par aaj rindon ki qatar andar qatar aai
gae gulshan pe ghairon ke to mauj-e-rang-o-bu ban kar
har ek gulshan se hum ko bhi nida-e-KHush-gawar aai
nigah-e-bad se dekha hai kisi ne gar gulistan ko
to gul-chi ki har ek sazish hamin ko sazgar aai
jinhon ne is chaman ko KHun aur ashkon se sincha tha
bahaar aai to yaad un ki hum ko bar bar aai
na mali ho kabhi ghafil na an-ban ahl-e-gulshan mein
tabhi samjhenge hum yaron haqiqat mein bahaar aai
sada apne chaman mein daur-daura ho bahaaron ka
'habib' apni zaban par ye dua be-iKHtiyar aai
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 85)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.