india
ab merī mez par
tiin chhoTe chhoTe pyāle haiñ
ek safed rañg kā hai
dūsre par niile rañg ke phuul bane haiñ
aur tīsrā korī miTTī se banā hai
maiñ pahle piyāle meñ
paanī rakhūñgā
dūsre meñ rañg
aur tīsare meñ phūloñ kī pattiyāñ
ek baḌe piyāle meñ phūloñ kī pattiyāñ rañg
aur paanī rakh dūñgā
aur ek safed kāġhaz par
apne ḳhvāboñ aur mohabbat kā
ek halkā sā ḳhāka banā.ūñgā
aur bāhar dhuup meñ phailā dūñgā
ab meri mez par
tin chhoTe chhoTe pyale hain
ek safed rang ka hai
dusre par nile rang ke phul bane hain
aur tisra kori miTTi se bana hai
main pahle piyale mein
pani rakhunga
dusre mein rang
aur tisare mein phulon ki pattiyan
ek baDe piyale mein phulon ki pattiyan rang
aur pani rakh dunga
aur ek safed kaghaz par
apne KHwabon aur mohabbat ka
ek halka sa KHaka banaunga
aur bahar dhup mein phaila dunga
- Book : saarii nazmen (Pg. 127)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.