indimal
shaam kī sīḌhiyāñ kitnī kirnoñ kā maqtal banīñ
bād-e-masmūm ne toḌ kar kitne patte supurd-e-ḳhizāñ kar diye
bah ke mashkīza-e-abr se kitnī būñdeñ zamīñ kī ġhizā ban ga.iiñ
ġhair-mumkin thā un kā shumār
thak ga.iiñ ginñe vaale har ik haath kī uñgliyāñ
an-ginat kah ke aage baḌhā vaqt kā kārvāñ
an-ginat the mire zaḳhm-e-dil
TuuTī kirnoñ, bikharte hue zard pattoñ, barastī huī būñdiyoñ kī tarah
aur marham bhī nāpaid thā
lekin us roz dekhā jo ik tifl-e-nau-zā.ida kā ḳhanda-e-zer-e-lab
zaḳhm-e-dil mundamil ho ga.e sab ke sab!
sham ki siDhiyan kitni kirnon ka maqtal banin
baad-e-masmum ne toD kar kitne patte supurd-e-KHizan kar diye
bah ke mashkiza-e-abr se kitni bunden zamin ki ghiza ban gain
ghair-mumkin tha un ka shumar
thak gain ginne wale har ek hath ki ungliyan
an-ginat kah ke aage baDha waqt ka karwan
an-ginat the mere zaKHm-e-dil
TuTi kirnon, bikharte hue zard patton, barasti hui bundiyon ki tarah
aur marham bhi napaid tha
lekin us roz dekha jo ek tifl-e-nau-zaida ka KHanda-e-zer-e-lab
zaKHm-e-dil mundamil ho gae sab ke sab!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.