indr-dhanush ban jaen
samay hai ek samundar
jug sadiyāñ aur saal
mausam maah aur hafte
raat aur din
shām-o-sahar
bahr-e-vaqt ke qatre haiñ sab
is sāgar ke koī nahīñ haiñ kināre
koī safīna paar nahīñ kar paayā is ko
ek bulbule kī godī meñ
tum maiñ ham sab bahte haiñ
is se qabl ki ham bhī yahīñ par
ġharq yuuñ hī ho jaa.eñ
kyuuñ na havā ke pañkh lagā kar uḌ jaa.eñ
sāvan rut ke dhule hue se āsmān meñ
aaj ke Dūbte sūraj se ham aañkh milā.eñ
pul do pul ko
indr-dhanush ban jaa.eñ
samay hai ek samundar
jug sadiyan aur sal
mausam mah aur hafte
raat aur din
sham-o-sahar
bahr-e-waqt ke qatre hain sab
is sagar ke koi nahin hain kinare
koi safina par nahin kar paya is ko
ek bulbule ki godi mein
tum main hum sab bahte hain
is se qabl ki hum bhi yahin par
gharq yun hi ho jaen
kyun na hawa ke pankh laga kar uD jaen
sawan rut ke dhule hue se aasman mein
aaj ke Dubte suraj se hum aankh milaen
pul do pul ko
indr-dhanush ban jaen
- Book : Namak (Pg. 54)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.