infiradiyat
aa rahā hai ik sitāra āsmāñ se TuuT kar
dauḌtā apne junūñ kī raah par dīvāna-vār
apne dil ke sho.ala-e-sozāñ meñ ḳhud jaltā huā
muntashir kartā huā dāmān-e-zulmat meñ sharār
apnī tanhā.ī pe ḳhud hī naaz farmātā huā
shauq par kartā huā ā.īn-e-fitrat ko nisār
kis qadar bebāk kitnā tez kitnā garm-rau
jis se sayyāroñ kī āsūda-ḳhirāmī sharmsār
mauja-e-dariyā ishāroñ se bulātī hai qarīb
apnī sañgīn god phailā.e hue hai kohsār
hai havā bechain āñchal meñ chhupāne ke liye
baḌh rahā hai kurra-e-gītī kā shauq-e-intizār
lekin aisā anjum-e-raushan-jabīn o tābnāk
ḳhud hī ho jaatā hai apnī tābnākī kā shikār
aa raha hai ek sitara aasman se TuT kar
dauDta apne junun ki rah par diwana-war
apne dil ke shoala-e-sozan mein KHud jalta hua
muntashir karta hua daman-e-zulmat mein sharar
apni tanhai pe KHud hi naz farmata hua
shauq par karta hua aain-e-fitrat ko nisar
kis qadar bebak kitna tez kitna garm-rau
jis se sayyaron ki aasuda-KHirami sharmsar
mauja-e-dariya ishaaron se bulati hai qarib
apni sangin god phailae hue hai kohsar
hai hawa bechain aanchal mein chhupane ke liye
baDh raha hai kurra-e-giti ka shauq-e-intizar
lekin aisa anjum-e-raushan-jabin o tabnak
KHud hi ho jata hai apni tabnaki ka shikar
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 83)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.