inglistan ki aazadi aur hindostan ki ghulami
kahte haiñ āzād ho jaatā hai jab letā hai saañs
yaañ ġhulām aa kar karāmat hai hī inglistān kī
us kī sarhad meñ ġhulāmoñ ne jo hai rakhā qadam
aur kañkar paañv se ek ik ke beḌī gir paḌī
qalb-e-māhiyyat meñ inglistān hai gar kīmiyā.ī
kam nahīñ kuchh qalb-e-māhiyyat meñ hindostān bhī
aan kar āzādiyāñ āzād rah saktā nahīñ
vo rahe ho kar ġhulām is kī havā jin ko lagī
kahte hain aazad ho jata hai jab leta hai sans
yan ghulam aa kar karamat hai hi inglistan ki
us ki sarhad mein ghulamon ne jo hai rakha qadam
aur kankar panw se ek ek ke beDi gir paDi
qalb-e-mahiyyat mein inglistan hai gar kimiyai
kam nahin kuchh qalb-e-mahiyyat mein hindostan bhi
aan kar aazadiyan aazad rah sakta nahin
wo rahe ho kar ghulam is ki hawa jin ko lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.