inhiraf
maiñ ḳhvāja-sarāoñ ke shahr meñ paidā huā
maiñ apnī takmīl kā lagān kis kis ko duuñ
maañ aaTā gūñdh kar bhūkī so ga.ī
aur maiñ ne miTī gūñdh kar apne liye ek ḳhudā banā liyā
sajda merī peshānī kā zaḳhm hai
magar merā marham safar-e-suqrāt ke pyāle meñ paḌā hai
ḳhudā kā bosa merā pahnāvā thā
mujhe be-libās kar ke kaT.hā pahnā diyā gayā
merī zabān ne jalte ko.ele kī gavāhī chaḳhī
aur munsif ne merī āvāz apne tarāzū se churā lī
maiñ kyā karūñ dīvāroñ
dīmak kā rizq ban jā.ūñ
yā chūhoñ ko apne badan meñ bal banā lene duuñ
jo merī chhaTī his katartā chāhte haiñ
main KHwaja-saraon ke shahr mein paida hua
main apni takmil ka lagan kis kis ko dun
man aaTa gundh kar bhuki so gai
aur main ne miTi gundh kar apne liye ek KHuda bana liya
sajda meri peshani ka zaKHm hai
magar mera marham safar-e-suqraat ke pyale mein paDa hai
KHuda ka bosa mera pahnawa tha
mujhe be-libas kar ke kaTha pahna diya gaya
meri zaban ne jalte koele ki gawahi chaKHi
aur munsif ne meri aawaz apne taraazu se chura li
main kya karun diwaron
dimak ka rizq ban jaun
ya chuhon ko apne badan mein bal bana lene dun
jo meri chhaTi his katarta chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.