inna lillahi o inna ileihi rajeun
ek murda thā jise maiñ ḳhud akelā
apne kandhoñ par uThā.e
aaj āḳhir dafn kar ke aa gayā huuñ
bojh bhārī thā magar apnī rihā.ī ke liye
behad zarūrī thā ki apne-āp hī us ko uThā.ūñ
aur ghar se duur jā kar dafn kar duuñ
ye haqīqat thī ki koī vāhima thā
par ye badbū-dār lāsha
sirf mujh ko hī nazar aatā thaa, jaise
ek nādīda chhalāvā ho mire pīchhe lagā ho
mere kumbe ke sabhī afrād us kī
har jagah maujūdgī se be-ḳhabar the
sirf maiñ hī thā jise ye
TikTikī bāñdhe hue be-nūr āñkhoñ se hamesha ghūrtā thā
aaj jab maiñ
apne maazī kā ye murda dafn kar ke aa gayā huuñ
kyuuñ ye lagtā hai ki merā
haal bhī jaise taḌaptā lamha lamha mar rahā ho
aur mustaqbil meñ jab ye haal bhī maazī banegā
mujh ko phir ik baar is murde ko kandhoñ par uThā.e
dafn karne ke liye jaanā paḌegā
ek murda tha jise main KHud akela
apne kandhon par uThae
aaj aaKHir dafn kar ke aa gaya hun
bojh bhaari tha magar apni rihai ke liye
behad zaruri tha ki apne-ap hi us ko uThaun
aur ghar se dur ja kar dafn kar dun
ye haqiqat thi ki koi wahima tha
par ye badbu-dar lasha
sirf mujh ko hi nazar aata tha, jaise
ek nadida chhalawa ho mere pichhe laga ho
mere kumbe ke sabhi afrad us ki
har jagah maujudgi se be-KHabar the
sirf main hi tha jise ye
TikTiki bandhe hue be-nur aankhon se hamesha ghurta tha
aaj jab main
apne mazi ka ye murda dafn kar ke aa gaya hun
kyun ye lagta hai ki mera
haal bhi jaise taDapta lamha lamha mar raha ho
aur mustaqbil mein jab ye haal bhi mazi banega
mujh ko phir ek bar is murde ko kandhon par uThae
dafn karne ke liye jaana paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.