inni-kunto-minazalemin
kahā kis ne sitam ke din kabhī daa.im nahīñ rahte
ḳhudā ko mānñe vaalā vo shā.ir jo mire andar nihāñ hai pūchhtā hai
kahā kis ne ki istibdād ik zimnī haqīqat hai
kahā kis ne tashaddud barbariyat kam baqā kuchh sānehe se haiñ
hamesha jo nahīñ rahte
faqat nairañg haiñ kuchh din raheñge
aur phir dād-o-sitad insāf kī farmā-ravā.ī lauT aa.egī
magar maiñ dekhtā huuñ har taraf bas ek manzar hai
vasī-ul-qalb insāñ jo mire andar nihāñ hai phir ye kahtā hai
avāmunnās sar ko nivḌhā.e muñh chhupā.e
ājiz-o-miskīn baiThe haiñ
sabhī ḳhavās apnī be-muravvat ḳhud-numā.ī meñ
anāniyat se aise dandanāte phir rahe haiñ
jaise mālik hoñ jahāñ ke
huā kyā hai
mire maulā ki ham jo ājiz-o-miskīn haiñ
apnī jabīñ-sā.ī meñ yuuñ masrūf haiñ
itnā bhī dil gurda nahīñ rakhte
ki in fir.aun-zādoñ se ye pūchheñ kaun ho tum
magar ye hausla kab hai kisī meñ
log to ranjūr baiThe haiñ
ki jab qabreñ bulā.eñgī
to sar par ḳhaak oḌheñge
kaha kis ne sitam ke din kabhi daim nahin rahte
KHuda ko manne wala wo shair jo mere andar nihan hai puchhta hai
kaha kis ne ki istibdad ek zimni haqiqat hai
kaha kis ne tashaddud barbariyat kam baqa kuchh sanehe se hain
hamesha jo nahin rahte
faqat nairang hain kuchh din rahenge
aur phir dad-o-sitad insaf ki farma-rawai lauT aaegi
magar main dekhta hun har taraf bas ek manzar hai
wasi-ul-qalb insan jo mere andar nihan hai phir ye kahta hai
awamunnas sar ko niwDhae munh chhupae
aajiz-o-miskin baiThe hain
sabhi KHawas apni be-murawwat KHud-numai mein
ananiyat se aise dandanate phir rahe hain
jaise malik hon jahan ke
hua kya hai
mere maula ki hum jo aajiz-o-miskin hain
apni jabin-sai mein yun masruf hain
itna bhi dil gurda nahin rakhte
ki in firaun-zadon se ye puchhen kaun ho tum
magar ye hausla kab hai kisi mein
log to ranjur baiThe hain
ki jab qabren bulaengi
to sar par KHak oDhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.