inqalab-e-filistin
dekhtā hai kaun sahrā ke bagūloñ kī taraf
jo nazar uThtī hai bas jaatī hai phūloñ kī taraf
aish meñ rah kar hameñ kuchh bhī ḳhayāl-e-ġham nahīñ
muskurāhaT lab pe hai āñkheñ magar pur-nam nahīñ
dekhtā us ke karishme kis ko itnā hosh thā
pattī pattī dam-ba-ḳhud thī gul chaman ḳhāmosh thā
mahv-e-nazzāra thiiñ āñkheñ dil meñ taarī be-ḳhudī
mujh ko dīvāna kiye detī thī phūloñ kī hañsī
dekhtī thī maiñ bhī ye husn-e-chaman rañg-e-bahār
nā-gahāñ aa.ī sadā-e-dil ki ġhāfil hoshiyār
khol āñkheñ dekh apne muslimoñ kā hāl-e-zār
un ko to un kāfir yahūdoñ ne banāyā hai shikār
in mazālim par bhī tū sarshār hai mad.hosh hai
masjidoñ meñ jānvar bañdhte haiñ tū ḳhāmosh haiñ
naam ko baaqī nahīñ islām kā izz-o-vaqār
terī āñkhoñ se magar jaatā nahīñ ab tak ḳhumār
ham haiñ hālāñki bahut ye ho chukā hai inqalāb
sun rahe haiñ dāstān-e-ġham magar kyā deñ javāb
ho ke pāband-e-hukūmat kis qadar majbūr haiñ
ya.anī kosoñ ham arab kī manziloñ se duur haiñ
huuk uThtī hai ye sun mere dil-e-nākām meñ
palTaneñ kuffār kī hoñ ḳhāna-e-islām meñ
dekhta hai kaun sahra ke bagulon ki taraf
jo nazar uThti hai bas jati hai phulon ki taraf
aish mein rah kar hamein kuchh bhi KHayal-e-gham nahin
muskurahaT lab pe hai aankhen magar pur-nam nahin
dekhta us ke karishme kis ko itna hosh tha
patti patti dam-ba-KHud thi gul chaman KHamosh tha
mahw-e-nazzara thin aankhen dil mein tari be-KHudi
mujh ko diwana kiye deti thi phulon ki hansi
dekhti thi main bhi ye husn-e-chaman rang-e-bahaar
na-gahan aai sada-e-dil ki ghafil hoshiyar
khol aankhen dekh apne muslimon ka haal-e-zar
un ko to un kafir yahudon ne banaya hai shikar
in mazalim par bhi tu sarshaar hai madhosh hai
masjidon mein jaanwar bandhte hain tu KHamosh hain
nam ko baqi nahin islam ka izz-o-waqar
teri aankhon se magar jata nahin ab tak KHumar
hum hain haalanki bahut ye ho chuka hai inqalab
sun rahe hain dastan-e-gham magar kya den jawab
ho ke paband-e-hukumat kis qadar majbur hain
yani koson hum arab ki manzilon se dur hain
huk uThti hai ye sun mere dil-e-nakaam mein
palTanen kuffar ki hon KHana-e-islam mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.