Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

inqalab-e-fitrat

Barq Aashiyanvi

inqalab-e-fitrat

Barq Aashiyanvi

MORE BYBarq Aashiyanvi

    badal de bāda-e-kohna badal de sāġhar-e-gil ko

    badal de tarz-e-mai-noshī badal de rang-e-mahfil ko

    badal de qissa-e-majnūn-e-pāband-e-salāsil ko

    badal de dāstān-e-kohna-e-lailā-e-mahmil ko

    badal de gulshan-e-hastī ke ḳhūnīñ lāla-zāroñ ko

    badal de mahfil-e-ishrat ke kohna bāda-ḳhvāroñ ko

    badal de kahkashāñ ko chāñd ko sūraj ko tāroñ ko

    badal de in sabhī furqat ke jhūTe ġham-gusāroñ ko

    badal de ik na.e andāz meñ raftār-e-fitrat ko

    badal de ik na.ī tanzīm meñ paikār-e-fitrat ko

    badal de kaif-āgīñ lutf meñ āzār-e-fitrat ko

    badal de barbat-e-hastī ke har ik tār-e-fitrat ko

    ye rāz-e-kāmrānī hai isī meñ kāmyābī hai

    yahāñ har dam taġhayyur hai ye fitrat inqilābī hai

    badal de baada-e-kohna badal de saghar-e-gil ko

    badal de tarz-e-mai-noshi badal de rang-e-mahfil ko

    badal de qissa-e-majnun-e-paband-e-salasil ko

    badal de dastan-e-kohna-e-laila-e-mahmil ko

    badal de gulshan-e-hasti ke KHunin lala-zaron ko

    badal de mahfil-e-ishrat ke kohna baada-KHwaron ko

    badal de kahkashan ko chand ko suraj ko taron ko

    badal de in sabhi furqat ke jhuTe gham-gusaron ko

    badal de ek nae andaz mein raftar-e-fitrat ko

    badal de ek nai tanzim mein paikar-e-fitrat ko

    badal de kaif-agin lutf mein aazar-e-fitrat ko

    badal de barbat-e-hasti ke har ek tar-e-fitrat ko

    ye raaz-e-kaamrani hai isi mein kaamyabi hai

    yahan har dam taghayyur hai ye fitrat inqilabi hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now