insaf ka taraazu jo hath mein uThae
insāf kā tarāzū jo haath meñ uThā.e
jurmoñ ko Thiik tole
aisā na ho ki kal kā itihās-kār bole
mujrim se bhī ziyāda
munsif ne zulm Dhāyā
kiiñ pesh us ke aage ġham kī gavāhiyāñ bhī
rakkhīñ nazar ke aage dil kī tabāhiyāñ bhī
us ko yaqīñ na aayā
insāf kar na paayā
aur apne us amal se
bad-kār mujrmoñ ke nāpāk hausloñ ko
kuchh aur bhī baḌhāyā
insāf kā tarāzū jo haath meñ uThāte
ye baat yaad rakkhe
sab munsifoñ se uupar
insaf ka taraazu jo hath mein uThae
jurmon ko Thik tole
aisa na ho ki kal ka itihas-kar bole
mujrim se bhi ziyaada
munsif ne zulm Dhaya
kin pesh us ke aage gham ki gawahiyan bhi
rakkhin nazar ke aage dil ki tabahiyan bhi
us ko yaqin na aaya
insaf kar na paya
aur apne us amal se
bad-kar mujrmon ke napak hauslon ko
kuchh aur bhi baDhaya
insaf ka taraazu jo hath mein uThate
ye baat yaad rakkhe
sab munsifon se upar
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 471)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.