insaf
Interesting Fact
us andhi laDki ke naam jise ''huduud'' me.n sazaa dii gaii thii
maiñ is chhoTe se kamre meñ
āzād bhī huuñ aur qaid bhī huuñ
is kamre meñ ik khiḌkī hai
jo chhat ke barābar ūñchī hai
jab sūraj Dūbne lagtā hai
kamre kī chhat se guzartā hai
muTThī bhar kirnoñ ke zarre
khiḌkī se andar aate haiñ
maiñ is raste par chaltī huuñ
aur apne ghar ho aatī huuñ
mirā baap abhī tak mere liye
jab shahr se vāpas aatā hai
chādar kañghī kājal chūḌī
jaane kyā kyā le aatā hai
mere donoñ bhaa.ī ab bhī
masjid meñ paḌhne jaate haiñ
ahkām-e-ḳhudāvandī saare
paḌhte haiñ aur dohrāte haiñ
aapā mire hisse kī roTī
chañgīr meñ Dhak kar rakhtī hai
aur sub.h savere uTh kar vo
roTī chiḌiyoñ ko detī hai
maañ merī kuchh pāgal sī hai
yā patthar chuntī rahtī hai
yā daana chugtī chiḌiyoñ se
kuchh bāteñ kartī rahtī hai
vo kahtī hai jab ye chiḌiyāñ
sab is kī baat samajh leñgī
choñchoñ meñ patthar bhar leñgī
panjoñ meñ sañg samo leñgī
phir vo tūfāñ aa jā.egā
jis se har mimbar har munsif
pāra-pāra ho jā.egā
merā insāf karegā vo
jo sab kā hākim-e-ālā hai
sab jis kī nazar meñ yaksāñ haiñ
jo munsif izzat vaalā hai
maiñ maañ ko kaise samjhā.ūñ
kyā maiñ koī ḳhāna-ka.aba huuñ
main is chhoTe se kamre mein
aazad bhi hun aur qaid bhi hun
is kamre mein ek khiDki hai
jo chhat ke barabar unchi hai
jab suraj Dubne lagta hai
kamre ki chhat se guzarta hai
muTThi bhar kirnon ke zarre
khiDki se andar aate hain
main is raste par chalti hun
aur apne ghar ho aati hun
mera bap abhi tak mere liye
jab shahr se wapas aata hai
chadar kanghi kajal chuDi
jaane kya kya le aata hai
mere donon bhai ab bhi
masjid mein paDhne jate hain
ahkaam-e-KHudawandi sare
paDhte hain aur dohraate hain
aapa mere hisse ki roTi
changir mein Dhak kar rakhti hai
aur subh sawere uTh kar wo
roTi chiDiyon ko deti hai
man meri kuchh pagal si hai
ya patthar chunti rahti hai
ya dana chugti chiDiyon se
kuchh baaten karti rahti hai
wo kahti hai jab ye chiDiyan
sab is ki baat samajh lengi
chonchon mein patthar bhar lengi
panjon mein sang samo lengi
phir wo tufan aa jaega
jis se har mimbar har munsif
para-para ho jaega
mera insaf karega wo
jo sab ka hakim-e-ala hai
sab jis ki nazar mein yaksan hain
jo munsif izzat wala hai
main man ko kaise samjhaun
kya main koi KHana-kaba hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.