insan
insān aur itā.at-e-māhaul-e-iftirā
aayā hai apnī aap ye duniyā liye hue
hai dekhne meñ zarra pe sad mahr dar baġhal
vahdat hai is kī kasrat-e-ashiyā liye hue
zāhir meñ ek phuul pe sad gulistāñ ye jeb
bil-fe.al qatra bil-quva dariyā liye hue
me.amārī-e-jahān-e-nau is kī hai zindagī
maut is kī hai hayāt kā chashma liye hue
kis kī majāl hai ki ise dekh kar kahe
aayā hai apne saath ye kyā kyā liye hue
insan aur itaat-e-mahaul-e-iftira
aaya hai apni aap ye duniya liye hue
hai dekhne mein zarra pe sad mahr dar baghal
wahdat hai is ki kasrat-e-ashiya liye hue
zahir mein ek phul pe sad gulistan ye jeb
bil-feal qatra bil-quwa dariya liye hue
meamari-e-jahan-e-nau is ki hai zindagi
maut is ki hai hayat ka chashma liye hue
kis ki majal hai ki ise dekh kar kahe
aaya hai apne sath ye kya kya liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.