inteha-e-kar
pindār ke ḳhūgar ko
nākām bhī dekhoge
āġhāz se vāqif ho
anjām bhī dekhoge
rañgīnī-e-duniyā se
māyūs sā ho jaanā
dukhtā huā dil le kar
tanhā.ī meñ kho jaanā
tarsī huī nazroñ ko
hasrat se jhukā lenā
fariyād ke TukḌoñ ko
aahoñ meñ chhupā lenā
rātoñ kī ḳhamoshī meñ
chhup kar kabhī ro lenā
majbūr javānī ke
malbūs ko dho lenā
jazbāt kī vus.at ko
sajdoñ se basā lenā
bhūlī huī yādoñ ko
siine se lagā lenā
pindar ke KHugar ko
nakaam bhi dekhoge
aaghaz se waqif ho
anjam bhi dekhoge
rangini-e-duniya se
mayus sa ho jaana
dukhta hua dil le kar
tanhai mein kho jaana
tarsi hui nazron ko
hasrat se jhuka lena
fariyaad ke TukDon ko
aahon mein chhupa lena
raaton ki KHamoshi mein
chhup kar kabhi ro lena
majbur jawani ke
malbus ko dho lena
jazbaat ki wusat ko
sajdon se basa lena
bhuli hui yaadon ko
sine se laga lena
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 20)
- Author : Faiz Ahmad Faiz
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.