internet-asthan ki malika
internet-asthān pe baiThī ḳhvāb kī malka!
maḳhmal sī poroñ se kitne roz bunogī?
ḳhvāb kī rekhā
rañg-rañgīle bair-bahūTī jaise lafzoñ kī añgnā.ī
jaltī-bujhtī tasvīroñ kī ḳhvāb-sarā.ī
sābit añgūroñ ke dānoñ jaisī
duniyā kī ye hosh-ruhā.ī
tanhā.ī kī gāgar se phir lamha chhalkā
internet-asthān pe baiThī ḳhvāb kī malka!
duur kisī cafe meñ baiThe
ḳhvāhish aur mohabbat ke ye ujle sign
ye jalte hoñToñ ke ḳhat
ye hañsnā ronā
sab kuchh aadhā sach hai
aadhe sach meñ Duub marogī
gorakh-dhandā bas ik pal kā
internet-asthān pe baiThī ḳhvāb kī malka!
chating room meñ
sard diloñ ke rash meñ ghuTtī sāñseñ
insānoñ ke chehre pahne
jazbe khā.eñ ruuh chabā.eñ
tanhā.ī ke ruup rañgīle raqs dikhā.eñ
harfoñ ke bujhte añgāre
kitne din tak aur chunogī?
pyaas to māñge rasta jal kā
internet-asthān pe baiThī ḳhvāb kī malka!
internet-asthan pe baiThi KHwab ki malka!
maKHmal si poron se kitne roz bunogi?
KHwab ki rekha
rang-rangile bair-bahuTi jaise lafzon ki angnai
jalti-bujhti taswiron ki KHwab-sarai
sabit anguron ke danon jaisi
duniya ki ye hosh-ruhai
tanhai ki gagar se phir lamha chhalka
internet-asthan pe baiThi KHwab ki malka!
dur kisi cafe mein baiThe
KHwahish aur mohabbat ke ye ujle sign
ye jalte honTon ke KHat
ye hansna rona
sab kuchh aadha sach hai
aadhe sach mein Dub marogi
gorakh-dhanda bas ek pal ka
internet-asthan pe baiThi KHwab ki malka!
chating room mein
sard dilon ke rash mein ghuTti sansen
insanon ke chehre pahne
jazbe khaen ruh chabaen
tanhai ke rup rangile raqs dikhaen
harfon ke bujhte angare
kitne din tak aur chunogi?
pyas to mange rasta jal ka
internet-asthan pe baiThi KHwab ki malka!
- Book : Vaqt ki qiad se (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.