interwal
lo ghanTa bajā interval kā
ab vaqt aayā hai halchal kā
ab jo chāhe vo shor kare
ab har laḌkā ḳhud teacher hai
jis chiiz ko paayā toḌ diyā
hāthoñ meñ sab ke sanīchar hai
go aaj kā din hai mañgal kā
lo ghanTa bajā interval kā
dekho ik chhoTe bachche se
vo chhīn rahā hai lunch koī
kursī ko paTaḳh kar kursī par
vo pheñk rahā hai bench koī
schōl banā ghar pāgal kā
lo ghanTa bajā interval kā
kuchh apnī sehat par nāzāñ
gaamā kī tarah se akaḌte haiñ
kuchh taal Thoñk kar maidāñ meñ
rustam kī tarah se laḌte haiñ
har samt hai manzar dañgal kā
lo ghanTa bajā interval kā
kuchh mausīqī ke matvāle
kuchh filmī gaane gaate haiñ
kuchh miir ke sheroñ ke rasiyā
kuchh qaumī tarāne gaate haiñ
kuchh qissa aalhā udal kā
lo ghanTa bajā interval kā
kuchh chaaT kī dūkānoñ meñ khaḌe
pattoñ meñ kachālū khāte haiñ
kuchh garm pakoḌī ke tālib
kuchh taaza aalū khāte haiñ
kuchh pāpaḌ khāte haiñ kal kā
lo ghanTa bajā interval kā
kuchh daulat-mandoñ ke laḌke
khāte haiñ apnī biryānī
kuchh bhūke muflis bachchoñ ke
muñh meñ bhar aatā hai paanī
hai shauq kisī ko chāval kā
lo ghanTa bajā interval kā
is niim ke nīche maidāñ meñ
mausam hai jahāñ ThanDā ThanDā
ik giroh khilāḌī laḌkoñ kā
hai khel rahā gillī DañDā
ye lutf hai bas pal do pal kā
lo ghanTa bajā interval kā
lo ghanTa baja interwal ka
ab waqt aaya hai halchal ka
ab jo chahe wo shor kare
ab har laDka KHud teacher hai
jis chiz ko paya toD diya
hathon mein sab ke sanichar hai
go aaj ka din hai mangal ka
lo ghanTa baja interwal ka
dekho ek chhoTe bachche se
wo chhin raha hai lunch koi
kursi ko paTaKH kar kursi par
wo phenk raha hai bench koi
school bana ghar pagal ka
lo ghanTa baja interwal ka
kuchh apni sehat par nazan
gama ki tarah se akaDte hain
kuchh tal Thonk kar maidan mein
rustam ki tarah se laDte hain
har samt hai manzar dangal ka
lo ghanTa baja interwal ka
kuchh mausiqi ke matwale
kuchh filmi gane gate hain
kuchh mir ke sheron ke rasiya
kuchh qaumi tarane gate hain
kuchh qissa aalha udal ka
lo ghanTa baja interwal ka
kuchh chaT ki dukanon mein khaDe
patton mein kachaalu khate hain
kuchh garm pakoDi ke talib
kuchh taza aalu khate hain
kuchh papaD khate hain kal ka
lo ghanTa baja interwal ka
kuchh daulat-mandon ke laDke
khate hain apni biryani
kuchh bhuke muflis bachchon ke
munh mein bhar aata hai pani
hai shauq kisi ko chawal ka
lo ghanTa baja interwal ka
is nim ke niche maidan mein
mausam hai jahan ThanDa ThanDa
ek giroh khilaDi laDkon ka
hai khel raha gilli DanDa
ye lutf hai bas pal do pal ka
lo ghanTa baja interwal ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.